Vinit Kumar Shaw   (Desire_But_Blue)
116 Followers · 107 Following

Joined 19 October 2019


Joined 19 October 2019
24 NOV 2024 AT 15:25

Tum kisi talaab pe aao,
Main wahin dub dikhaunga!

Akshar bhar mere naam ka bolo;
Main badnaam bhi ho jaaunga!

Tum ho, to duniya se pyaar hai mujhko;
Tum agar muh fero, main qayaamat laaunga!

Praan mere pallu mein baandhke,
Bas aawaaz baksh do!

Tumhari paayal aur meri dhadkan,
Main usse nazmon mein sunaunga!

Aur jo koi sukha kar de meri iss madhushala ko,
Main devon ke kanthon se halaahal ugalwaunga!

-


24 NOV 2024 AT 15:20

Kabhi koi shaam uske saath suraj dhalta dekh lun;
Kabhi usse mere saath kisi lambe raaste par chalta dekh lun!

Dekh lun uske saath pahaadon ki barf,
Samundar ka paani, aur registaan jalta dekh lun!

Dekh lun uske saath baarah Jyotirling, chaaro Dhaam, Aur Kedarnath mein suraj nikalta dekh lun!

Dekh lun uske saath apni jawaani;
Apni zindagani, aur budhapa!

Aur usse dekhte huye,
Apne praano ko nikalta dekh lun!

-


21 OCT 2024 AT 3:24

Poets spoke of mother, father, and daughter with grace,
But the son stood in silence, lost without a trace.
His life, too, twisted through lonely bends,
Once the center of love, now left as time offends.

From sixteen to twenty-one, taunts cut him deep,
Each dream shattered, every hope began to creep.
By twenty-one, fear built walls around his soul,
Life’s heavy storms drowned him, taking their toll.

Then came marriage, and his path split in two,
Torn between son and husband, not knowing what to do.
Like a cake divided, with nothing of his own to claim,
His desires cast aside, lost without a name.

The carefree boy, once free and wild,
Now walks from the office to home, no longer a child.
The one who shouted with joy and delight,
Now silent, a shadow, fading out of sight.

The child who gazed with wonder and awe,
Now calls himself a man, though inside he’s raw.
The brightness once lighting his world has turned black,
And the boy who once roared now barely whispers back.

His story, unfinished, torn and left behind,
Fighting a world that’s moved on, weary in mind.

-


1 OCT 2024 AT 4:38

Ek taraf tumhari doli saje,
Or main shayad us roj dulha banu,
Tumhara chehra lage us roz chaand sa,
Aur main ankhein band kar tujhko takun!

Tumhari sakhiyaan tumhare saath hogi,
Mere yaar mere saath hoge,
Chadhaya jayega lakdi ki ghodi par mujhko,
Aur waha tumhare fere saat honge!

Us roz tum ruthi rahogi magar,
Meri taraf se na manaya jayega,
Us roj tum dulhan banogi kisi aur ki,
Aur mujhe kuch dur le jaakar jalaya jayega!

Baarat nikalegi tumhari chaukhat se,
Par mujhe us roz roka na jayega,
Tum khushi se saj kar kisi aur ki hogi,
Aur mujhe aansuon mein chhipa kar lautaya jayega!
Tumhare hasne ki awaaz gunjegi sab mein,
Aur aansuon mein mujhe har koyi bhulata jayega.

-


9 AUG 2024 AT 2:49

Pichhli peedhi jab chahegi, ki ab to jeevan chain se kate;
Iss peedhi ka chain chura-chheen ke khaa jaayenge!

Hawan yun rakhwayenge ki ab ashaanti na faile;
Hawan ki pehli aahuti mein prem ko hi jalaayenge!

Jahan dikhe kisi ke zehen mein zara bhi roshni;
Ye diye usse chamakne ke bajaay, raundh-raundh ke bujhayenge!

Chalo, hum-umra the to sacchai se iqtala kar diye;
Mere baad ab alag-alag sach dikhaane, bade-bujurg aayenge!

Kitno se kitne na milkar, kitna pachtayenge!;
Jin dino ki inko aas hai, wo din hi nahi aayenge!

-


23 JUN 2024 AT 21:26

Koi kal keh kar gaya:
"Kaash tumne mujhe samjha hota!"

Koi aaj kehta hai:
"Kaash tumhari tarah kisi ne samjha hota!"

Khwahish hai ki koi ye bhi kahe:
"Kaash maine tumhe samjha hota!"

-


23 JUN 2024 AT 18:42

Purush jisne jisne bheekh maangi kisi ke theher jaane ki;

Unhe fir kisi ke jaane ka gum nahi hua!

-


21 JUN 2024 AT 5:46

Main din mein chaar baar tujhe yaad karta hun;
Khuda se puchle ki paanchvi aah bhi agar bharta hun?
Dil tod ke jaane ki kanoonan koi saza to nhi;
Tujhe tere hi kartuton si zindagi ataa karta hun.

Main din mein chaar baar tujhe yaad karta hun;
Suna hai bohot rulati hai zindagi mere jaane ke baad,
Barkat bani rahe, teri aankhon ko samandar ataa karta hun!
Main din mein chaar baar tujhe yaad karta hun!

Tere zehen mein ab nahi chubhenge ye chaakuon ke waar;
Zameer tabaah ho aisi, apni kalam ko khanzar ata karta hun.
Main din mein chaar baar tujhe yaad karta hun!

Duniya nakaabi hai, nakaabi hi achi hai;
Nakaab khulte hai jab, main ghar se hi razaa karta hun,
Main din mein chaar baar tujhe yaad karta hun!
Khuda se puchle ki paanchvi aah bhi agar bharta hun!

-


21 JUN 2024 AT 5:33

Roya maa ka laal tha jab;
Maa ka kitna bura haal tha tab!
Hua kya hoga soche kaise?
Bete ke aansu pochhe kaise?

Pati se kehti...
Beta khana khata nahi hai;
Hua kya hai kuch batata nahi hai....
O ji mujhe to kuch samajh aata nahi hai!

Aanchal mein sula lun usko?
Duniya se main bacha lun usko?
Par wo aanchal mein aata nahi hai...
Hua kya hai kuch batata nahi hai!

Aaj kamre mein uske jaa rahi hun;
Daatungi usko bata rahi hun!
Maa kamre ki or jaane lagi...
Kya samjhaungi usse, khud ko ye samjhane lagi...

Aaj aanchal mein sulaungi usko;
Seene se lagaungi usko;
Uske pasand ka khana banaa kar...
Apne haathon se khilaungi usko!

Maa kamre tak pohonch gayi,
Kamre mein kuch to atka tha;
Maa ne khola kamra kaske,
Beta pankhe se latka tha!

Pankhe mein sab kuch chhut gaya...
Maa ka sara sapna tut gaya...
Maa-baap mar gaye soch-soch kar;
Beta kis kaaran se ruth gya?

-


21 MAY 2024 AT 2:57

Kaash tum meri maut hoti;
Ek din tum aati zaroor!

Par afsos ke tum zindagi ho;
Chhod ke jaaogi zaroor!

-


Fetching Vinit Kumar Shaw Quotes