Shabd bayaan nahi kiya karte kuch zazbaato ko,
Shabd, bayaan nahi kiya karte kuch zazbaato ko, Ta umar nikal jaati hai, jinhe samjhane ko.....
Aksar woh zaayar hua karte hai duniya ki riwayato ke toofan mai.
Shabd, bayaan nahi kiya karte kuch zazbaato ko.....
Na jaane kitne patjhad ke mausam yunhi guzar gaye, shabd, jo byaan na kar paaye woh, zazbaat, yunhi dafan ho gaye...
Maloom hota ke, zazbaat bhi dhokha diya karte hai,
maloom hota ke zazbaat bhi dhokha diya karte hai..... toh, hum bhi unhe byaan karne ki hidayat na dete......
Na hume ilam tha, na unhe....
Kambakht, shabd, bayaan nahi kiya karte kuch zazbaato ko.....
-