Umido ke sahare ,
safar me rahe bagair manjil ke ,
Ye ankhe sirf ashman ko nihare ,
Umido ke sahare ,
-
Girna aur sambhalna fir uth kar chalne ki takat sirf unhi ko hoti hai jiske jindagi ka maqsad uski manjil ho , uski takadeer kisi aur ke hath me nhi
-
Mai khudgarj hota gaya ,
Aur aap apne jine ke tarike badalte gaye ,
( Father )-
Tum badalte jaha ko dekho ,mai khud ko badalne ki koshish karta hu ,
Ulajhane ki kya jarurat hai hame ,
Ab mai khud ko suljhane ki koshish karta hu-
Meri pahachan hai mujhame ,
mujhe kuchh batane ki jarurat kya hai ,
mai gumnaam hoke sareaam rahane ki tamanna rakhta hu ,-
Hamare tootane se tumhe shukooniyat hai ,
To mai tootane ko taiyar hu ,
Roothi to duniya hai ham se ,tum bhi rootho ,
Kyo ki mai bemishal hu-
Khvab bun bun ke unhe hakikat me badal diya ,
fir bhi lagta hai kyo ,
kuchh to khodiya maine ,
-
Mai tab tak hu jab Tak meri jid hai , ye jid mujh me kuchh khash hai , jisse meri Pahchan hai,
har waqt kuchh khash Ho,
Har pal jine ka ahasas ho,-
Chhip gaye ho tum, bagair kuchh bataye,
Na jane Kaha apne kadmo ke nisha mita ke,
koshish hai ki mai tumhe dekh pau in napaak ankho se,
jb kabhi teri tasbeer najar ati hai ,
mai khud ko bhool jata hu aur meri ankh bhar ati hai,
saham Ke mai Tere kal me kho jata hu gujare huve kal ko duharata hu, Chhip gaye ho............-