1. Aaj phir ek koshish ki hai,
aisa socha mere mann ne.
Ki apna atith,
bhool raha hoon shayad.
Unme behthe hue jazbaat,
ghol ke pee raha hoon shayad.
2. Lafzon me joh,
kal tak baat khojta tha.
Unse ab main door,
hath aaya hoon shayad.
Ab kya kahu main tumse?
Ki uss sangeet me behkar,
joh bhav hume mile the tab,
Woh laut aaye hai aaj,
4 saal baad kisiki vaani se gunguna kar.
3. Gaur se suna maine jab,
toh mila mujhe tumhara sparsh,
mere puraane ghavon me ab tak.
Vichalit mann lekar main,
uss sangeet me magn tha.
Achanak kisine mujhe,
gungunaane ko kaha jab toh,
mere halak me tera zikr tha,
mere labon me tera fikr tha,
mere aankhon me tera ishq tha aur,
mere naak se soong rahi khushbu me,
tera woh itr tha.
4. Samajh na saka main us shhan ko,
Yaadein teri jab laut aayi us pal ko.
Kya karta main phir bhala?
Wahi kar baitha joh karta tha sada.
Ab kya kahu main tumse?
Aaj phir ek koshish ki hai,
aisa socha mere mann ne.
Ki aaj phir ek koshish ki hai,
aisa socha mere mann ne.-
Mushkil nadiyon ko ter kar kya hoga is jagat me?
Namumkin lehron ki ser kar kya hoga is jagat me?
Sukh ke naao me chadkar, kya dukh ke toofan me dubhna chuth jaata hai is jagat me?
Is jagat ki bhi kya baat hai, yeh sirf ek behti hui bhap hai.
Bhap bhi maano kuch aisi, aag ke lapton jaisi.
Yeh baat ko joh jaane, usse darr kar woh maane, aur anth me apne aapko woh thaane,
Naa jaane yeh baat ko joh uske beehtar basta ek nayaab mukhe kheeda, aur woh jab dikhta gehra toh mil jaata usse bhasm ki chapet ka peeda.
Ninda karo naaki uss bhap ki,
Jagat ke jagyare me mili chali uss shrap ki.
Nadiyon ka toh anth ananth hai,
Magar sadiyon ka toh anth samarth hai.
Tune kya jana jagat me haasil kya hai?
Haasil wahi hai joh raha teri aankhon se faira, udh kar joh mila teri sapno ki kashti me, laut aaya woh tehar kar apno ki hee basti me?
Lehron ka bhaav, ser se pale hai chunothiyon se aaj kal rehta joh saje hai,
Nadiyon ka milav mumkin swabhav se aaj kal ter raha hai, aakir kar lagta hai gehrai ka tehar chod raha hai.
Sukh ke nao ne bhi ab raftar pakad hee li hai, isse dekh kar toh ab dukh ke toofano ne dubhna chod, sooraj ki tarah dalne ka faisla le liya hai.
-
ना जाने आज कितने वक्त के बाद
उन पुरानी गलियों के साथ वाबस्ता हुआ है।
शोर मानो कम न हो,
शायद इसलिए दिल आज,
इस मोड़ पर आ थमा है।।-
एक अजीब सी खूबी है वक्त की,
कल जब पीछे मुड़ कर देखा था
तो आज के खयालों में घूम था ।
और आज, जब आंखें खुली
तो देखा की बीते हुए कल के हकीकतों और,
आने वाले कल के हालातों के इर्द-गिर्द था ।।-
Aaj bahut waqt baad pelhe jaise mera jee ghabraya is sawal par ki, "Tum Theek Ho, ya nahi?"
Waqt toh beeth hee raha hai, hum dono bhi apni alag zindagi jee hee rahe hai aur, dheere dheere ek doosre se bhichad bhi rahe hai.
Magar tab bhi naa jaane kyu aaj woh ghabrahat ne bahut samay ke baad mujhe majboor kar diya ki ek dafa fir tumse puchlu ki "Tum Theek Ho, ya nahi?"
Bahut dher intezaar karne ke baad jab tumhari awaaz aur woh peeche ki shor meri kaano ki ore tak pahunchi tab jaakar maine apne dil ko thodi tasalli di ki, "Haan chalo, shayad yeh theek hai."
Fir tumne kaha ki, "Main tumse ghar pahuch kar baat karti hoon."
Jaise hee tumne phone rakha ussi ke kuch waqt baad mere aankhon me halki nami ne ek saazish rachi.
Ab woh kyu hua? Yeh toh main nahi janta hoon. Haan magar, itna zaroor janta hoon ki "Tum Theek Ho, yaa nahi" ke sawal ka jawaab main tumhari awaaz se har dafa samajh jaata hoon.
Chahe raina beeti jaaye, ya mera jee ghabraye, ya fir pralay aaye, ya hum dono hee bhichad jaaye. Tumhari meeti aawaz jab mere kaano ki ore par padti haina tab hamesa woh sirf ussi ki boli gungunati hai aur tab mujhe pata lag hee jata hai ki, "Tum Theek Ho, ya nahi!"
-
Logon ki bheed joh itni hai, kisi na kisi cheez me bhaag lene ki tayaari joh itni hai.
Kahi humari tayaari sala kam toh nahi pad gayi?-
Kaisi zindagi hai yeh aaj kal ki?
Sab toh vyast hai, aakir kaar,
Sab toh apne apne zindagi me hee mast hai.
Kisi ko pyaar me hone ki khumaari hai toh,
Kisi ko vypaar me khone ki bhukhmaari hai.
Koi apne aankhon ke saamne har din kisiko kohta hua dekhta hai toh,
Koi apne zameer ke saamne har din khudko sambhalne ki koshish me jujhta hai.
Kisi ko bas pehle ke umeedon ki fikar hai toh,
Kisi ko sirf ek aakhri baar alvida kehne ki hichak hai.
Koi himmat dikha kar sukh ke raah me aage badhna chatha hai aur,
Koi himmat haar ke dukh ko hee apna manzil maan kar jeene ki chah kar leta hai.
Kaisi zindagi hai yeh aaj kal ki?
Kisi ko apnon se fariyad hai toh,
Kisi ko apne sapnon ki talaash hai,
Koi apne khushiyon ke kinare hai aur,
Koi apne hee ghamm ke sahaare hai.
Kaisi zindagi hai yeh aaj kal ki?
Sab toh vyast hai, aakir kaar,
Sab toh apne apne zindagi me hee mast hai !?
-
Kuch unkahi baatein thi,
Kuch haseen mulakaatein thi.
Ek doosre ka saath tha,
Bandishon se azaad tha.
Khushiyon se abaad tha,
Pyaar ka ehsaas tha.
Tumhari aankhon ki jaadugiri thi,
Tumhari hasee ki nazakhat thi.
Tumhare haaton ki nharmahat thi,
Tumhare gusse ki gharmahat thi.
Thoda waqt nakara tha,
Thoda main nakara tha.
Magar ishq, ishq toh humara tha.
-
Sahi ki paribhasha se darta hoon main aaj kal.
Sachai ka saamna tab bhi karta hoon main aaj kal.
Galat karte karte galtiyon se darta hoon main aaj kal.
Hakeekaton ka saamna tab bhi karta hoon main aaj kal.
Apna na raha toh shayad apne se darta hoon main aaj kal.
Sapnon ka saamna tab bhi karta hoon main aaj kal.
Sapna sa joh hoon main ab aaj kal.
Apna sa joh na hoon main ab aaj kal.
-
Mujhe umeed hai uss umeed se,
ki woh mere zindagi me umeed ban kar aayega,
aur umeed ban kar chala jayega.
Magar jaane se theek pehle ek roz,
mere zindagi me umeed,
umeed ki kirne lekar aayega,
hamesa hamesa ke liye chayega,
aur anth me ek umeed ban kar chala jayega.-