vijet hegde  
19 Followers · 26 Following

Joined 21 May 2019


Joined 21 May 2019
3 AUG 2023 AT 15:22

sab kuch mohobbat ke shayar likh chuke hain
main bas nakal karta hoon shayar ki shayri ka
log deewane hain wah wah karte hain
main to bas naam leta hoon mohobbat ka

-


1 SEP 2022 AT 21:41

yun hi ishq pyar mohobbat ke peeche bhaaga na karo
kabhi kabhi hi sahi tum unke chaheta bana karo

-


9 SEP 2020 AT 22:48

Teri aankhen julfen aur woh masumiyat
Uff tum sach mein laajawab ho
Khoobsoorti bhi apna roop dekh paati hai jab tum aayne ke saamne jatee ho

-


18 JUN 2020 AT 16:29

Soch-soch kar thak jata hoon ki Meri zindagi ki humsafar kaisi hogi
Dil kehta hai kaisee bhi ho pyaar
mujhse beshumar kartee hogi
sach hi hoga kisee aur ko nahin aane diya is dil ki dekhbal wahee kartee hogi

-


24 DEC 2019 AT 18:25

Ae insaan tu itna kaabil ban ki
Dushman tere khilaf jo bhi kadam uthaye
Woh saare kadam kadam kadam par tere liye madad ban jaaye

-


17 AUG 2019 AT 23:53

Bachpan me to kisi aurat ko
dekhkar sirf maa yaad aati
Kya sitam hai ki ab koyee ladki
dikhi to sirf maa yaad nahi aati


-


9 AUG 2019 AT 20:33

Woh boli aapki aankhon
me woh baat nahi ki aapki
aankhon me kho jaayen
Hamne kaha kasoor aap ka hai
Dekha hai jabse aapko
Hamne theek se soya kahan hai

-


8 JUL 2019 AT 20:33

Pyaar mera tumne apnaaya nahi to
Tujhe mere pyaar par haq kisne dee
Bade hi besharam ho yaar tum to
Amanat meri thi aur tumne ise tod dee

-


29 JUN 2019 AT 23:44

Mana Woh pyaar nahi karti mujhe
Main pyaar doonga woh gham degi
Zamane walon main karun to kya karoon
Jo pyari hai use pyar karna meri fitrat hai

-


28 JUN 2019 AT 0:20

Woh hamari mohobbat ko bhi apne saath lekar chalee gayee
Aur hum humare Dil ko bhi apne paas na rakh sakhen

-


Fetching vijet hegde Quotes