Khudko hi dekhe ek arsa hua
Hun jo khali sa me mujhme
Or sawalo ka bawandar bhi
Kise kahu me bate ye bhala
Hai jo qayamati zubaan meri
Or sunne ko koi zarf bhi nhi-
and I promised myself..... I'll definitel... read more
Me khwab or parinda
Tu soch hi le kabhi na
Tu hawa si to banja
Me fir pankhon se bahta
Ab ye khwab hai mere
Me ankhein jo hu moonde
Tu ab neend hi banja-
Hu kaydon se pareshan me apne
Me zehen ki bharti khamoshi ka
Iqrar kise karu jo baitha yahan akela
Ab apne haram ki bat kise karu
Me tuta bhi bikhra bhi jo
To Sametne ki aas kise kru-
Hai chand bhi shayad khafa mujhse
Jo in raton me Nazar nhi aata
Hai khwahish nazaron ki kaafi
Magar ab shayad me uske
Zehen me nhi aata-
Hun kaaydon se apne khafa me bhi
Magar usulon zanzeer mujhe aksar
Khayi me girne se bacha le jati hai
Isliye chahe samne koi bhi ho
Uski ahmiyat ho ya khudai
Mere zameer ko hila nhi pati hai-
Kabhi gaur se padhna mujhko
Me ek ankahi kahani hun
Tum bhool jaoge kuch waqt me
Ye janta hun me fir bhi
Koshis kr rha hu aadat purani hai
Aaj tak har Aziz khoya hai maine
Shayad ye meri akhiri kurbani hai
Ye waqt gunahgar hai mera
Ek roj khuda se najre jarur milani hai-
Har chiz paiso se mil jaye
Itni mahangi bhi nhi hoti
Or bina mahnat ke mil jaye
Itni sasti bhi nhi hoti
Isliye lagan sachi ho to
Kabhi shikast nhi hoti-
Haan mujhse milne wale
Kayi shaks aam boht hai
Haan me muskura kar
Har bat jo tal deta hu
Fir bhi mayusi ke naam boht hai
Sochun jo agar inka kya kre
Aji chodiye Kaam boht hai-
Tum kya ho mere liye
Ye bas raaz hi rehne do
Har koi meri dukhti rag Khoj rha hai
Tum mujhe khamosh hi rehne do
Tumhari mojudgi meri zindgi me na shi
Ise kuch Palo me kaid hi rehne do
Me thak chuka hun in sbse
Mujhe ab Sarfarosh hi rehne do
-
Jo jaan gye jaruri hai
Fir wo hath aaya nhi krte
Isiliye jo khaas hai koi shakhs
Use ye bataya nhi krte
Hamare liye wo shakhs Aziz hai
Bas mahfil me dikhawa nhi krte
Unke liye ham nachiz hai
To bat aage badaya bhi nhi krte
Unse zubani guftgu lazmi nhi
To lo ham lafz jaya bhi nhi krte-