# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Bahut kuchh mil jata
Agar meri baaton ko samajh jate
Jeevan aisa na ho pata
Agar mujhe khulne ka mauka de dete-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Jaane kya ho gaya tha us waqt
Jab unse dobara mulaqat hui thi
Jaane kyun zuban band ho gayi
Dharkanen yakayak bahut tez ho gayi
Haath paanv thartharane laga
Hosh bhi bilkul saath chorne laga
Samajh hi na aaya ki kya karun
Itne mein waqt khisak gaya
Aur main haath malta rah gaya
-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Khud se baaten karte hain
Apne man ko bahlate hain
Andhere mein rahte hain
Apne had ko pahchante hain
Duniya se ab hamen kya lena dena
Jisne hamen samajhne se kar diya mana-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Kabhi kabhi Khushi ka ek lamha
Zindagi badal dene ke liye kafi hota hai
Kabhi wahi kisi ko nahin mil pata
Jo uski mrityu ka bhi wajah ban jata hai-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Unse to koi baat hi na ho pai
Phir anjaam aisaa kaise hua
Ye meri samajh ke pare hai
Isiliye ham bhi aaj tak wahin khare hain-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Hanste hanste jis tarah unhone apni hasraton ko qurban kar diya
Waqai awismarniya aur anukarniya hai
Mohabbat ki duniya mein waisa misal kahin nahin dekha
Ishwar unhen sadaiv sukhi nirog aur shatayu banaye rakhe-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Jab baat Prem ki ho
Aur ziqra Radha ki na ho
Samajhiye charcha adhoori hai-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Hum to unhen dhudhte hue jaane kahan tak chale aaye
Koi unhen batlayega bhi ki wo kahan hai-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Unki nighaon mein gunahghar ban gaye
Dil ke Aziz se nafrat ki aag mein jalaye gaye
-
# Adhoora pyar # Pyasi Atma #
Beshaq na tum galat the na hum
Par baatein kabhi nahin hui usika hai gham
Aaj usi ka ye anjaam hai
Donon do kinare khare hain
Taqdeer ko kos rahe hain
Milan ka intezar kar rahe hain-