You have to be original for your survival
Fake people already exist with a lot of rivals-
Intezaar h uska jo mere sapne rang laaye
Dil mein abhi bhi umeed hai
Unn sapnon ko pura krne ki
Kyuki azaad shayad aaj hue hai
Jo the zimmedariyon mein dafn kahi-
Ik pal mein khush ik pal lagta bujha bujha sa jo chehra hai
Jaroori nhi h usko ishq ho, zimmedari ka bojh bhi toh gehra hai-
Zimmedari wo kaaran h, kbhi kbhi mann ko maarna pdta h
Aur Samajhdaari se har zimmedari ko nibhana pdta h-
Bhari thi udaan jis aasmaan mein sang tere
Baras rhe hai wo aaj ghar pr mere
Fark itna hai ki Sapna thi wo udaan
Aur beparwah h ab yeh insaan-
Waqt ki maar se itna marr chuka hu
Upar se dikhu na shayad pr andr se thak chuka hu
Batlaane ko kya hi rha h kisi ko kuch
Karm krne the wo kar chuka hu-
Samjhaate rhe umra bhar jisse,
Wo apni dhun mein fana ho gye
Samay aaya sahi soch kr chale hum,
Pr wo na jaane kaha kho gye
-
Na sawaalo ka koi jawab hai
Na sarkaar k pass hisaab hai
Na halaat ki Sacchi khabar
Na iss bimari ka pakka ilaaj hai
Jo neta dete the waadein tumhe, ghumte muh pr liye haramkhori ka naqaab hai
Centre-State ki ladayi mein, janta Marti be-hisaab hai
Kya kisi neta party k pass inn baaton ka jawab hai??
-
Chahat toh sabne ki hi usse thi
Mili usse jiski kismat mein thi
Baat smjhi sabne isse zidd ki
Pr asal mein atma samaan ki thi
Guroor mein kahi thi baat jo plan B ki
Ab khud usse apnane ki baat aan padi thi
Thama jb hath uska toh yeh naubat bhi aa gyi
Jo kbhi thi saath tumhare wo ab saath na rhi
Smjha bhaav tb jaake rishto ka
Tbhi sandeep bhaiya ne yeh baat kahi
"It feels empty, we can't amend our mistakes".
-