Tum mujhe itna bhul jana ki tum jee sako
Main tumhe itna yaad rakhu ki main jee saku!-
Kaise kahu ki, kaha nahi jata
Jee to rahe hain, magar jiya nahi jata
Aankho ko rukhsati manzoor nahi
Lakeeron ka likha magar saha nahi jata!!
-
Beshaq rahe wo khafa mujhse
Wo hi hai humnava kabse,
Aankhon mein hai tasveer uski
Naam hai uska meri har nafz pe!!
-
Prem mein khud ko kho chuka vyakti
Bairagya mein khud ko paa liya karta hai-
Jaha ab zindagi le jaye
Usi raah pe jayenge hum
Khwabon ka baksa band karke
Aankhon ko sach dikhayenge hum
-
"Lafzon ko hothon pe rakh ke
Dil ke bhedh na kholo
Main aankhon se sunungi
Tum aankhon se hi bolo"-
"Do char badnamiyan hain sar par
Hum mukammal kharab thodi hain"-
"..Aaj jo har seher, har pehar udaas hai..
Kabhi ye shaamein sath uske gujari thi humne.. "-
"..Ek hi baat hai
Kitne andaaz mein kahu
Tumse mohabbat hai
Kis alfaaz mein kahu.. '-
.."Chalo ab bichde hain toh dard ki dastaan likhenge
Tujhe juda to rahenge par tera hi naam lenge!!..-