Eek din eek khat likhunga…
Aapne aap ko maskara aur tujhe mohobaat likhunga…
Umeed main rahunga sada tere…
Tera naam mere naam ke sath likhunga…
Aur akhri main likhunga pyaar ki eek nazma teri…
Uss nazma main main khud ko dil aur tujhko dhadkan likhunga…-
Dekh kar uski aakhon main hum doobe hain…
Kitna bhi sambhal liya uske bina hum adhure hain…
Aur phisal phisal kar sambhal rahe the khudko hi…
Kya aazeeb baat hain na janab pyaar bhi hum kare aur sapne bhi humare toote hain…-
Kisine pucha mujse ki shayari kya hain…
Toh usspar maine kaha…
Shayari kuch nahi bass
Nakamyab mohoobaat ke hisse main lipte hue kafan hain…
Kya batau kaha kaha yeh issme aur kitne saare raaj dafan hain…
Yuh toh sunne main badi shandar lagti hain woh pangtiya…
Paar kese batau tujhe issme ki issme chupe humare dard e zindagi ke kisse hain…-
Teri aakhon main maine jaab dekha usme mujhe duniya dikhi…
Apni aakhe band kar li fir bhi mujhe tu dikhi…
Aur aab sapno main aana chod bhi do na…
Kyuki mujhe iss mohobaat main tere sath meri sari jindagi dikhi…-
Main mohobaat ko bhi sikhata ki mohobaat kya hain…
Main bina baat ke bhi tujhe jatata ki mohobaat kya hain…
Aur dil toot gya uss din jis din dekha use shadi ke jode main…
Main uske baad bhul hi gaya ke mohobaat kya hain…
-
Shyam dhal chuki hain…
Raat ho chuki hain…
Khwab sameet raha hu…
Bass uss neend ki kami hain…
Aur toote khwabon ka dard samjoge?
Jane do na main bass sona chahata hu…
Bahoot deer ho chuki hain…-
Raat ho gayi hain…
Aankhe bhari hone lagi hain…
Samet raha hu khudko main…
Bass uss neend ki kami hain…
Paar aab woh gair ho chuki hain…
Jese ki eek lambi peher ho chuki hain…
Main abb bass sona chahata hu…
Kanbhakt bahoot der ho chuki hain…-
Aab uss haseen shyaam ko bolna wapas na aye…
Haath range hain khoon se humare…
Maar dala humne uss mohobaat karte dil ko khanjar se…
Aab nahi karenga woh mohobaat chahe woh aye ya chahe woh khuda hi kyu na aye…
-
"Khuda Ka Tohfa Hai Ye Husn Ki Itni Khoobsurati
Aajkal Kahan Milti Hai,
Zulfein Kaali, Kaano Mein Bali, Aur Gaalon Pe Laali, Oh Ho Kya Khilti Hai,
Aur Aaj Saree Mein Saji Ho Toh Aaine Band Karlo,
Humari Aankhon Mein Dekhlo Ye Tumse Kahaan Hilti Hai..."-
Chand takte takte main jese uska chehera bhul gaya…
Beete hue waqt ke saath jese koi ashiyana bhul gaya…
Aur bhulana tho chahata tha main usske haar eek ansh ko…
Usse bhulate bhulate main khud ko bhula gaya…-