uzma sarkawas  
162 Followers · 50 Following

read more
Joined 6 April 2018


read more
Joined 6 April 2018
6 JUN 2021 AT 23:06

Yaariyan wo qurbaaniyan yaad aati hai;
Mujhe mere dost ki badmaashiyan yaad aati hai.
Wo ladna jhagdna har pal Ek duje k sang rehna.
Professor se chup chup k pet pooja karna...
Wo Waqt tha kambhakat bada hi suhanaa!
Na jaane kyu; ab bura Laga...ye naadaniyon ka zimmedaryon me badl Jana.

-


28 DEC 2020 AT 9:38

Ye Zindagi kam hai
Nazriye Sab k tang hai.
Khud ki Karo to Besharm hai,
Aur logon ki Sune to hum Bewakoof hai!!

-


20 NOV 2019 AT 13:26

Jaan jaan bolkar anjaan kar dete hai,
Dekho to zara 'uzma' ye wahi log hain jo bina tumhare sadiyaan guzar lete hain.

-


11 DEC 2021 AT 2:16

Maine khud se jhoot bola
Mai jo hoon; wo Mai nahi hoon... Phir bhi mai ne ye khud se na bola.
Rakh k khud ko Ek jhoot k andhere me Maine sach se Moo Moda..
Bhool k Aakhirat me hoga ye Parda faash...fir bhi gunahon k fehrist me maine izaafa kar daala.




Jaan k ye k Allah bada gafoor_ur_raheem hai
Ab maine maafi Maange ka Sachha iraada kardala.

-


24 NOV 2021 AT 22:55


Waqt Waqt ki baat hai !!

Wo kal tha!
Humko ruka k Kehte the humse: naqaab k saath under nahi Jasakte.
Aur ye Aaj hai!
Gar Wahi naqaab Jisko pehchan di mask ki ; na ho toh dushwar hai dakhil hona.

-


14 OCT 2021 AT 0:27

Hum ne bhi hunar seekh liya..
Musalle pe baha k aansoo, logon ko wajah batane se bachne ka bahana dhoond liya.
Unke puchne se haal hamara; Alhamdullilah! thik kehke muskurana seekh liya.
Alfaaz ko baha k kalm k zariye, bejaa ki Guftagoo se zubaan ko na_paak karna chod diya.

-


4 OCT 2021 AT 14:33

Ek khwaab Aisa bhii...

Jisme Mai hoo kuch is tarah;
Na koi Mujh se khafa, na Mujhse judaa. Na koi shikwaa na hi dil me kisi k koi bad dua..
Meri tareef hi bas har koi kare.. Na koi tauhmat na kirdaar pe Sawaal..
Jo bhool baithe the kai arsa Pehle hi wo bhi tareef Meri kare..
Par ye khwaab kahan? ye to hai mere mout k Baad ka lamhaa!

-


6 SEP 2021 AT 0:39

Zindagi Tera Shukriya!
Teri seekh ne hume jeena sikha diya.
Leke k kadi se kadi imteehan;
Ustaad hone ka haq tune adaa kiya.
Hoke hum se itna be-murrawat,
Har mod pe hume apne taqdeer se ladna sikha diya..

-


27 AUG 2021 AT 10:05

Hamesha to nahi hoga..
Aaj andhera hai to kal sawera hoga.
Zindagi k in rangeen panno par kabhi ashqon ka to kabhi Teri khushi ka qissa darj hoga..
Teri aakhri Saans tak har roz tera ek naya imtehaan hoga.

-


31 JUL 2021 AT 23:03

Aaj jo tu khaas hai... Kal Aam hoga.
Ye fehrist waqti hai, tu aaj upar to kal kahin aur hoga.
Chod de minnate'n karna logon ki.
Zara Kaam tujh se nikal jaaye to Phir tu Wahi "yaar" na hoga.
Yaari k fasaane jo gaate hain ghanto'n talak,
Kal unke paas Salam jawab k ilawaa guftgagu ko kuch na hoga.
Door se Dekh kar jo karte hain Haath..
Kal ko dekhlena... Qareeb se guzr k bhi nazar andaaz karna unke liye asaan hoga.
Waqt apna aise hi na sarf kardena mere dost!
Marne k Baad Iska bhi hisaab hoga.....

-


Fetching uzma sarkawas Quotes