Dhoka, Fareb, Jhooth aur Dil-e-mehboob bada sakht hai
Ham naraz hi to the unse par unhe kaha waqt hai
Magar ham jinse roothe baithe hai unhe apna mankar
Wo apne abhi unke apno ko manane me wyast hai-
IT ACTS.
Ye jo Quatil log hai
Meethe Khanjar ka kaam karte hai,
Daraate to hai ishq ke naam se
Par muhabbat bhi sare-aam karte hai.-
Aaye ik roshni bankar,
Fir tanhai me muh mod gaye.
Rasme bahut thi nibhane ko
Pahli rasm hi tod gaye
Wafa, mohabbat, ishq, hayat sab ke sab dena tha jinko,
Pahli khwahish jab ki hamne wo hame wahi chor gaye,
-
Har waqt apni yaaden dekar mujhe kyu jalati ho
Har raat sapne bankar meri neendo me kyu aati ho
Arey ghulam banakar hi kadr karlo meri
Meri muhabbat ko aap samajh kyu nahi paati ho-
Meri har subah pe teri marzi, har saam pe tera naam ho.
Roothna, Manana, Ishq aur Wafa bas itna sa hi kaam ho.
Meri mohabbat par to ab bekas haq tumhara hi hai.
Khusi tab hogi gar meri maut ka bhi tumpe hi ilzaam ho.-
Tumhare deedar ko ye aankhe kabhi nam na hogi
Haal-e-dil baya karde ye aisi besharam na hogi
Sayad tum kabhi nahi samjhoge kambakht dil ❤ ki halat
Fir bhi tumhe chahne ki hamari chahat kabhi kam na hogi.
-
Uthi chingari seene me to aanch ban gaye
Mere hathiyaar ye kalam aur saaz ban gaye
Janme to ham bhi aam insaan hi the
Mohabbat seekh li ham maharaj ban gaye-
Sabdo se hi wafa-e-ishq izhaar karta hu
Mere pass to dil hai nahi mai kaha pyaar karta hu
Logo ko bhi aazma kar dekha hai maine
Par ab bas khali sabdo se hi pyaar karta hu
-
Quismat kahu ya qayamat ho tum
Manta hu meri amaanat ho tum
Ishq ke girafth me jo saza di tumne mujhe
Jaanta hu us saza ki #Zamanat ho tum-
Log kahi, logo ki seerat kahi
Baate aur yaade bhi tab jab jarurat rahi
Ab tak to bas itna mehsoos kiya hai maine
Ki ishq nibhane ke liye kisiki jarurat nahi.-