Tamash-bin hoon duniya mein
Ab kaun samjhaye mujhe
Be-akl hoon beqadar mein
Ab kaun rashm-e-zamana sikhaye mujhe-
Main bas alas-pasand hoon
Ye Izhaare-e-'lankesh' h, sahab,
Qabil-e-... read more
Kai raaz dafn hai iss madfan ke ander
Murde ko jaan-na itna asan bhi nahi-
Samundro ki simaon ko tasveero mein qaid karte ho
Tum bhi gazab ho lankesh koshisho mein mazzak karte ho-
Har baat pe aazmate ho qismat ko lankesh
Ab aazmao ant mein raam milega kya-
Khel dekho ki aag hawa ke jhoke se mili
Jahan naram thi wahan raakh ho gayi
Jahan tez thi wahan sab raakh kar gayi-
Aashiyaane ke kai aib tab nazar aaye
Jab ek toofan ghar ke karib aaye-
Unki bedardi ka khumaar dekho
Wafa bhi mujhise hai kharaab bhi mein hi hoon-
Takaluf kare agar koi naaraz ho mujhse
Aaye thora galiyaye mujhko haaye batlaaye mujhse-
Ye zamane ka rukh hai badal jayega
Aa baith ke dekhe tera din ab kab ayega-
Yak-a-yak takta hoon tujhe
Aur phir teri ankhoon ka rang tak bhul jaata hoon-