....
-
" Mnane Wala "
Guroor Itna Chehre Par
Meri Jaan Yeh Akelaapan
Kuch Kaam Aane Wala Nahi Hai ;
Aur Yeh Tumse Hi Sikha Hai Mene Yu Bematlab
Ka Ruth Jaana
Magar Khair Muje Koi Mnane Wala Nahi Hai-
"Badal Gaya"
Wada Tha
Toot Gaya
Shak_ss Tha
Rooth Gaya
Dil Tha
Sambhal Gaya
Waqt Tha
Phisal Gaya-
"Toot Gaya"
Mature Tha Woh Bnda
Mere Bchpane Se Ruth Gaya
Umr Bhar Saath Chlne Ka
Waada Tha Woh Palbhar Mein
Toot Gaya-
"Mast"
Agar Koi Aapko
Chhod Kar
Apni Zindagi Mein
Vyast Ho Jae
Tohh Bhhad Mein
Woh Jae
Aur Aap Apni
Zindagi Mein Mast
Ho Jae-
Koi Tuje Bhi Har Baar
Galat Raaste Se
Modta Hoga
Tu Kyu Fikar Karta Hai
Har Roz Tere Liye
Bhi Koi Mandir Mein
Haath Jodta Hoga-
"Talash"
Insan Behtar Se Behtar
Ki Talash Mein
Tanha Reh Jaata Hai-
"Kalamm"
Chehre Ka Kya
Karoge Meri Jaan
Meri Toh Sirf Kalamm
Kafi Hai Kisi Ki Duniya
Hilane Ke Liye-