Mjhe tumhe paane ya na paane ki hasrat nhi hai ....
Mjhe har baar tumhe yeh jatane ki bhi zarurat nhi hai....
Tumhara intezaar to main Umar bhar kar skta hu....tumhari aankhon me Jo paani bhara hai usme machli ki tarah reh skta hu.....
Han main tumse ek tarfa pyar krta hu !!
Bin palke jhapkaye..tumhe lagatar dekhta hu.... Har saans k saath tumhe apne ander mehsus krta hu....
Han main tumse ek tarfa pyar krta hu !!
tumhare uhi gaalo ki chuna ..aur sunhare baalo ko sehrana....Tumhe yu gale se lagana...
Tumhare kareeb ho kr tumhare har saanso ka ehsaas krta hu...
Han main tumse ek tarfa pyar krta hu !!
Tumhara har choti baat par gussa hona ...Tumhara uhi ruthna aur mera manana....tumhare har baaton ka matlab main smjhta hu...
Han main tumse ek tarfa pyar krta hu !!
Tumhara Ghar se kuch Lana ....doston k saath Tumhara jaana ...aur fir bhi mujhse puchna ...Mera Har baar pet bhara kehna ..fir bhi har baar ek bite maangta hu....
Han main tumse ek tarfa pyar krta hu !!
-