Uneza Khan   (Uneza)
58 Followers · 9 Following

Joined 13 March 2018


Joined 13 March 2018
29 SEP 2023 AT 13:11

Aur aaj phir uski bhot YAAD aayi me kya karu
Ke Bina uske me jiyu kaise ye FARIYAAD aayi me kya karu
Mera Sab kuch to CHHEEN kar legaya vo mujhse
KE mera Sab kuch to chheen kar legaya vo mujhse !!!
Ab iss BEJAAN ROOH ka me kyaa karuu
??

-


17 SEP 2023 AT 14:47

"Kitni ajeeb hoti hai na insaan ki fitrat ,
nishaniyon ko mehfooz rakh kar shaqs kho deta hai. ”

-


9 SEP 2023 AT 15:21

Hey suno
Thak gaya hai dill intezar krte krte plss laut aaona tum... Lafz na rahe tumhe batane koo meri khamoshi samjhjao na tum
Bhot din guzar gaye tumse bichadkr.. Lekin yaad har roz aati hai tumhari . Bhot takhlif horhii hai aaj,
Kaash meri takhlif ko samjh paona na tum .
Har subah meri yahii umeed ke sath aati haii ki aaj laut aaoge tum... Lekin phir sham dhal kar mayusi dejati hai

-


13 DEC 2021 AT 19:02

Mere har khwaab ki tabeer tu hai
Lakire hai agr haatho me to taqdeer tu hai
Meri aakhon me jhakhen jab bhi koi
Dikhe jo pyaar ki tasveer tu hai

-


20 OCT 2021 AT 15:23

Kal vo jaisa tha ,
Jo bhi tha ,mera tha
Mere liye tha..
Aaj vo jaisa hai ,
Jo bhi hai,meri wajah se hai
Lekin mera nhi hai
Kal vo hasta tha ,
ruthta tha lekin mere sath tha ..
Aaj vo gussa hai ,naraz hai
Lekin mere sath nhi hai..☹️

-


21 AUG 2021 AT 22:45

Abhi baki hai kuch baate tum
Kuch Waqt aur ruk jao na
Tum yuhi khamosh rehte ho kuch
Apne khwaab bhi bataona
Main baithi hu sunne hamari
Bachpan ki baate fir se.
Tum ab anjaan ho janti hu mai
Suno
Tum fir se ek dafa mere hojaona

-


6 AUG 2021 AT 16:27

Kehna to bohot
kuch hai tumse
Jo na keh kr bhi
Mere dill ki kahani hai
Kahe kaise par
Ye pareshani hai
Kyuki teri meri
Kuch alag kahani hai
Kuch apni hai
Kuch begani hai..

-


4 AUG 2021 AT 21:59

Tum Jahan Bhi Ho
Mere khayal me ho
Mere kal me ho
Mere Filhal me ho...

-


29 MAY 2021 AT 13:37

Lamha Lamha Bekar hai tere Bagair
Zindagi Dushwar hai tere bagair
Sham-e-gham karwat badalta hi nahi
Waqt bhi khuddar hai tere bagair

-


14 APR 2021 AT 18:28

Jis tarah mohabbat nibhane ke liye
Dotarfa efforts lgte hai
Usi tarah dosti nibhane me
Bhi Dotarfa efforts lgte hai
Agar asa na ho to mohabbat bhi khatam hojati hai or saalo purani dosti bhi mit jati hai

-


Fetching Uneza Khan Quotes