Umar Kazmi   (उमर 🧔🏻‍♂️)
18 Followers · 10 Following

Tax Professional by day || Dreamer by sundown || writer by blood
Joined 3 January 2019


Tax Professional by day || Dreamer by sundown || writer by blood
Joined 3 January 2019
13 DEC 2024 AT 11:19

Suna hai mere shehar me hi hai ab unka basera
Jo ho ijazat to mulaqat to ki ja sakti hai
Mehsoos hoti hai unki maujoodgi aas paas hi kahin
Jo ho ijazat to lipat k saari maayoosi door ki ja sakti hai
Ek daur tha jab the shehar humare alag alag par dil ek tha
Ek daur ye hai ki jab shehar ek hai par dil hogaye hain alag alag..

-


4 NOV 2024 AT 16:04

Waada to umr bhar ka hi tha
Najaane kyun tumne aur maine itni naadaniyaan ki
Pr rishta shayad jalti ciggarette jaisa tha
Jo jala ufaan pe aaya phir dhuan uda aur khatam hogya..

-


17 OCT 2024 AT 14:44

Aaya tha is nagar me jab raat ho rahi thi,
Aansu tapak rahe the barsaat ho rahi thi,

Barson purana rishta ek-dum bikhar raha tha,
Takleef umr bhar ki ek saath ho rahi thi..

-


14 SEP 2024 AT 13:53

Maana hum adab se baat nahi karte
Par hum kisi se matlab se baat nahi karte

Aapse baat karte hain naram lehje se to khud pe ghuroor kijiye
Is naram lehje se hum sabse baat nahi karte

-


10 MAY 2024 AT 10:49

Ek kahani thi jo sabko sunaani thi
Ho na saki mukammal wo meri mohabbat ki kahani thi
Baat hai us daur ki jab mere khoon me ravaani thi aur apne ufaan pe ye jawaani thi
Ab lagta hai rok lun waqt ko yahin pe isi waqt
Khol dun us kitaab ko jahan se padhna choda tha
Logo ke liye wo sirf ek mobabbat thi pr mere liye to meri zindagaani thi

-


10 MAY 2024 AT 10:43

Teri mushkil na badhaunga chala jaunga,
Ashq aankhon me chupaunga aur chala jaunga,
Apni dehleez pe kuch der pada rehne de mujhko,
Jaise hi hosh me aaunga chala jaunga,
Muddaton baad main aaya hun purane ghar me,
Khud ko jee bhar ke rulaunga phir Chala jaunga ❤️‍🩹

-


2 MAY 2024 AT 10:21

Dheere dheere khud se hi door hota ja raha hun main,
Dheere dheere andhere me doobta ja raha hun main,
Wo jinko maana tha hum raah ta umr ke liye,
Dheere dheere unse hi bichadta ja raha hun main.

Wo waade sath chalne ke wo baatein saath jeene ki aaj bhi harf ba harf qaid hai zehan me mere,
Dheere dheere bas khud ko hi bhoolta ja raha hun main,
Na jaane wo kiski thi nazar jo lagi meri mohabbat ko,
Mohabbat to baaqi rahi magar dheere dheere karne wale se bichadta ja raha hun main,
Yaad hai aaj bhi mjhe wo sukoon jo unhe dekh ke mila karta tha,
Sukoon hota hain kya dheere dheere bhoolta ja raha hun main,
Muqaddar ko yahi manzoor hai mere liye to yahi sahi Umar,
Dheere dheere maut ke nazdeek jaata ja raha hun main..

-


5 OCT 2022 AT 16:31

Talabgaar hain wo laakhon baaton ke mujhse magar,
Mujhe dene ke waaste ek muskurahat bhi nahi hai unke paas.
Mujhko Bewajah ki baatein sunane ke liye waqt bahut hai magar,
Meri baatein meri shikayatein sunne ke liye waqt nahi hai unke paas.
Mujhse wo chaahte hain mohabbat ka samundar poora magar,
Mere waaste ek qatra bhi nahi hai unke paas.

-


11 AUG 2022 AT 4:25

खुद ही खुद में घुटता जा रहा हूँ
बिना जिए ही ज़िंदगी जिए जा रहा हूँ
एक अरसा हो गया मझे खुद से ही मिले हुए
कैसे बयाँ करूँ की हर रोज़ खुद में ही कितने ग़म पिए जा रहा हूँ

-


8 MAR 2022 AT 10:16

Kabhi maa kabhi biwi kabhi behan to kabhi beti - harr kirdaar ko kya bakhoobi nibha leti hai,
Samjh mat use kamzor aae nadaan - hai agar usme mohabbat ka samandar to hifazat ke liye talwaar bhi utha leti hai,
Izzat karo uski apni duniya aur aakhirat dono bana logae Umar,
Beti ho, maa ho, behan ho ya ho biwi bas ek muskurahat se zindagi bana deti hai..

-


Fetching Umar Kazmi Quotes