Baithe baithe khayalon mein kahin,
Muskurane lage hain hum.
Raah chalte be wajah hi,
Gungunane lage hain hum.
Tum se pehle to;
Baat kehne se katra jate the.
Tumhare baad ab;
Shayari sunane lage hain hum...-
For listening to these poetries, visit my Instagra... read more
Zakhm bhi kal tak the gehre,
Nafrat bhi dil mein kahin thi.
Woh dastaan thi jo guzri,
Woh koi shayari toh nahin thi...-
Kuch waado'n ko saath mein liye,
Tumhare phoolo'n ko haath mein liye.
Us puraani sadak ki mord par,
Jahan gaye the mujhko chord kar.
Karte rahe hum intezaar,
Tum na aaye, na aaya qaraar.-
Mere khwaab is duniya se pare hain.
Aapke khwaabo'n ki duniya haseen hai badi,
Gar ijazat ho toh ruk jaun do ghadi...
-
Kehte ho khuli kitaab hun main?
Tum padhte padhte thak na jana mujhe.
Arse se band thi, khola hai tumne,
Har panna naya mod hai,
Bas yun hi samajhte jana mujhe.
Kisi safah mein gar samjh na aaun,
Band karke rakh na jana mujhe...-
Piyase ko moyassar ho samandar jaise,
Tum mujhko moyassar ho bilkul waise...-
Sung by droplets, with air along,
A plea sent by a lonely sky
For its beloved Earth to know:
"Our distance might be long,
But to you, I belong."-
Is rishte ka rukh tum mord dena,
Kuch waadon ko aaj tum tord dena,
Aakhri mulaqaat mein kaha tha,
"Waqt mila to milenge",
Sab bhul kar aa jana,
Tum phir se paas mere,
Or waqt ki in baaton ko,
Tum waqt par chord dena...-