Kuch waqt ke sitam hum pe bhi aise hue
Hum ghadi ke kaante ki tarah badte hue
Dosti peeche chooti aur hum aage hue
Aakhir mein ghum ke kaanta wahi aaya hai
Lekin na waqt wo aaya aur na wo dost-
Agar khwaab haseen ho tho zindagi ek mazaak lagti hai,
Mazaak hi tho hai yeh zindagi jo har roz ek naya rangmanch sajaati hai.
Sabko apna apna kirdaar samjhaati hai,
Agar na samjhe tho majboori ki laathi dikhaathi hai
Ab hai sab apne kirdaar mein gumshuda,
Phir bhi yeh haalaaton ka naya mod dhikhaati hai.
Sabko unke haalaaton mein mashroof kar,
Waqt ke pahiye ko zara tez ghumaati hai.
Agar khwaab haseen ho tho zindagi ek mazaak lagti hai,
Mazaak hi tho hai yeh zindagi jo har roz ek naya rangmanch sajaati hai.
-
Ek haseen khwaab tha jo toot gaya
Ab karwat badle jaa rahe hai hum
Ki kaash wahi khwaab dikh jaaye-
Uljhe hue dil ko lafzon ke sahare suljhaane ki koshish kar raha hoon
Bhatki hue musafir ko uski manzil par pohonchaane ki kosshish kar raha hoon
Yeh zindagi hai badi zaalim, ise jeena aasaan nahi
Apne jazbaaton ko khud mein kaid kiye hue jeene ki koshish kar raha hoon
-
Hamaari haqeeqat hamaari dushman nahi hai
Hamaari mohobbat hamaari dost nahi hai
Yeh zindagi hai yahan dosti bhi kaagaz (money) ke tukdo ki mohtaaj hai
Aur mohobbat bhi jaageer (property) ki gulaam hai-
Ek haara hua insaan hoon mein
Zindagi mein sab kuch haar chuka hoon mein
Socha tha mohabbat duniya ki sabse badi daulath hai
Aaj daulath ke aage mohobbath haar chuka hoon mein
-
Shikaayat karoon tho kaise karoon
Ki hui khata ko musquraake chipaana unka hummein pasand hai
-
Chaand door hai abhi sitaaron ki mehfil hi sahi
Sukoon ke safar mein thodi mushkilen hi sahi
Kuch waqt ki chapet mein hamaari Zindagi hi sahi
Hamaare dard ki aawaaz mein kisiki Khushi hi sahi
Agar hai sahi ye sab ke liye tho yahi sahi-
Kuch kisse unke mashhoor the meri zindagi mein
Ab unhi kisson ki kahaani bann gayi hai
Woh beet gaye mausam ki tarah meri zindagi se
Ab bass unki yaadein mere paas reh gayi hai-
Hamaari mohobath bhi kaamiyaab hoti
Agar thode khudgarz hum bhi bann jaate-