Tusharendu Tripathi  
14 Followers · 6 Following

Namak sa kirdaar h mera, kam keemat mai bhi sabse jyada zaroori lagta hu
Joined 23 January 2019


Namak sa kirdaar h mera, kam keemat mai bhi sabse jyada zaroori lagta hu
Joined 23 January 2019
23 SEP 2019 AT 23:14

khush to nahi hu tere jaane se magar guzara ho raha h
thoda toot chuka hu tere jaane se magar apno ka sahara ho raha h
yaad bahut aati h tu kabhi aankhein tak beh jaati h
pataani ishq ka kya rog h dil ki dil me reh jaati h
pal pal dard dene wali mohobbat bahut kuch bataati h
akele bhi zindagi itni buri nahin ye dagebaazi hi sikhaati h

-


23 SEP 2019 AT 23:02

kuch khud likhta hu kuch uske chehre pe dikh jaata h
janaab isi ko mohobbat kehte h magar har koi samajh nhi paata h

-


8 SEP 2019 AT 23:46

kuch rang aise bhi the jinhe syaahi ne phaila diya
rote dil ke ghaav ko kaagaz kalam ne sahala diya
us syaahi ka rang kaala tha mere dard ko chipa diya
jo rang tune chipaya tha vo kaagazo ne dikha diya
tu dur jaa chuka h magar dil ke bahut kareeb h
meri aukaat ki baat na kar ae bedil tu to mujhse bhi gareeb h

-


7 SEP 2019 AT 23:03

uski yaadon ke us bure saaye ko mai bhula naa paa rha tha
kyunki rog to mujhe ishq ka tha magar dawa dhoke ki kha rha tha

-


5 SEP 2019 AT 22:28

us kaagaz me teri tareefe tujhse jyaada ho gayi thi
laga jaise tu bhi is ishq me mere jitna hi kho gayi thi
magar mere izhaarne par tu meri aukaat tak aagayi
jis baat ka kabhi zikr na huwa tu har us baat pe aa gayi
mai chup tha isliye nhi kyunki mujhpe jawaab na tha
aankhein aansoon se bhari thi isliye nhi kyunki tu ab mera khwaab na tha
roz raat kalam uthaakar teri har baat likhta hu
tab pata chalta h mai teri aukaat me nhi dikhta hu

-


18 AUG 2019 AT 17:15

koshish bahut ki tujhe bhulane ki magar har saanjh ki tarah tu aaj phir yaad aagayi
tere sang puri zindagi bitaane ka khwaab dekha tha aur tu akele hi jeena sikha gayi
bahut sochta hu tere baare me ki kaise tujhe bhi ishq ka ahsaas ho
jise tu zehan se mitaana chaahe vahi tere sabse pass ho

-


6 APR 2019 AT 9:57

Yun kahu to
Ek mohobbat ke do tukde aa mil chuke h ab
Jaise darwaze ke vo do hisse jo din mai chaahe kitne bhi door ho magar saanjh hone par mil jaate h

-


27 MAR 2019 AT 11:50

Mai shaayar nhi hu
Bas ab zindagi ko lafzo se izhaarna seekh gaya hu
Mai kaayar nhi hu
Bas ab zindagi se jeet ke khud se haarna seekh gaya hu
Yun kahun to kisi ki dastakh ka intezaar nhi h ab kyunki apni khushiyon ko khudse baantna seekh gaya hu
Aur apne dardon ko apne bheetar hi kaatna seekh gaya hu
Tum mujhe vo bin darwaaze ka makaan keh sakte ho jiske andar ya baahar koi bhi aa jaa skta h magar us ghar ki chaukhaton ko fark nhi padta

-


27 MAR 2019 AT 11:18

Aaj milen kya
Ek arsa beet gaya h tumse mulakaat huwe
Vo baat alag h ki har subah tumhari tasveer dekh ke hoti h aur har shaam bhi tumhari nazron me hi khoti h
Yun kahu to tumse itni gehri mohobbat ho gayi h
Ki ab isme doobne se tum bhi mujhe bacha nhi skti
Chaaho to aazmaalo
Dhyaan rakhna kahi tum naa doob jaao

-


13 MAR 2019 AT 15:22


Tum khwaab ho aftaab ho
Mere har sawaal ka jawaab ho
Tum meet ho sangeet ho
Mere riwaazo ki tum reet ho
Tum shaan ho muskaan ho
Mere labon ka tum bayaan ho
Is jahaan ka vigyaan ho
Mahagyaan se bhi mahaan ho
Meri zindagi ki kahani ho
Jaise pyaase ke liye paani ho
Us koyal se bhi madhur ho
Zubaan par jaise madhuvaani ho
Tum chaav ho tum dhoop ho
Mehtaab ka swaroop ho
Meri zindagi ka khitaab ho
Jaise gehra ik talaab ho
Jisme doobte hi rehna h aur tujhme hi ghul jaana h
Tu hi mera ab lakshya h taumra maine jise chaahna h

-


Fetching Tusharendu Tripathi Quotes