Tushar Choudhary  
17 Followers · 8 Following

Joined 10 December 2018


Joined 10 December 2018
28 MAR 2020 AT 1:48

बेकारी से बीमार कोई,
है नज़रों में बेकार कोई,
कंधों पे बेज़ारी किसी के,
है किस्सों में बेजार कोई।

-


27 FEB 2020 AT 20:08

निकलने में कमरे से यूं ही नहीं सुबह से रात करते हैं,
गुल बारामदे के बहुत तल्ख़ सवालात करते हैं,
वो जो शख़्स नहीं देखता तुझे सुर्ख़ आंखों में मेरी,
जाम से रात भर उसी की फरियाद करते हैं।

-


14 FEB 2020 AT 23:58

फैलाना लबों को सीखा था बचपन में,
अब बिसरे बैठे हैं, जहां में लतीफों की कमी है,
वो सुनती है खयाल मेरे तो कहती है,
उम्दा खयाल हैं वैसे, बस रदीफों की कमी है।

-


10 FEB 2020 AT 10:56

जेबों में बाहार भरे कुछ यूं चलता है वो शक्स,
के डायरी के कोरे पन्ने रुसवा रहते हैं,
चन्द सांसें क्या ले लेता है कमीज़ पर मिरी,
अश्कों से दुश्मनी होती है, अत्तार खफा रहते हैं।

-


4 JAN 2020 AT 15:15

Harf Kya Likhen Chitthiyon Me,
Ki Ruk Jaye Manmeet,
Ye Samajh Nahi Aata

Uski Zulfon Ki Rubaiyon Me,
Wo Waqt Kaise Gaya Beet,
Ye Samajh Nahi Aata

Ek Sugandh Si Baaki Hai Kamre Me,
Kaun Khuret Raha Hai Peeth,
Ye Samajh Nahi Aata

-


8 DEC 2019 AT 0:11

Ghadiyan Rokna Kab Tak Aayega Tumhen?
Yun Mahino Tadapne Ka Man Nahi Karta.
Seene Pe Kaan Lagaye Khadi Na Ho Tum Agar,
To Dil Ke Dhadakne Ka Man Nahin Karta.

-


30 NOV 2019 AT 21:53

Ishq ho jab Hawa me,
To Baatein Kya karengi?
Ikraar Bhi ab Hami Karen,
Aankhein Kya karengi?

-


11 NOV 2019 AT 19:59

Dil Ke Kai Hisse Tode Hain Maine,
Kuch Ka Gham Kuch Ki Khushi Hai Mujhe
Magar Wo Jo Tumhare Paas Mehfooz Hai
Wo Hissa Sabse Aziz Hai Mujhe

-


3 NOV 2019 AT 19:48

Ham-Mashrab Theherne Nahi Dete Gharon Me,
Har Koi Madhoshi Me Dehleez Se Chalta Kare,
Wo Jo Kahaniyon Me Dhundhta Ho Khushiyan Aksar,
Panne Meri Kitaab Ke Peeche Se Palta Kare.

-


3 OCT 2019 AT 23:59

Sahi Galat Tolne Ko Kuch Meezan Rakhe Hain,
Hai Palango Ki Zaroorat, Bana Shamshan Rakhe Hain,
Mushkil Hoti Hai Ravani Rokne Me Khoon Ki,
Hawa Hawa Mein Kuch Aise Bayaan Rakhe Hain.

Cheen Lenge Panchiyon Se Bhi Ye Masoomiyat,
Mez Pe Meri Kuch Aise Farmaan Rakhe Hain,
Beetegi Jab Mujhpar Tab Uth Jaun Shayad,
Abhi To Bas Sote Rehne Ke Armaan Rakhe Hain.

-


Fetching Tushar Choudhary Quotes