Kisi ke raah mein safar bana, par humsafar ban nahi paaya
Pyaar tho kaiyon se hua par kisi ka pyaar ban nahi paaya…
Waqt diya, sharafat ke bazaar mein khud ko bech diya
Haq bhi jataa nahi paaya aur kabhi kisi ke ho nahi paaya…
Khwahishein thi kisi ka sukoon banne ka,
Koshish thi unke liye unke pasand jaise badalne ka…
Khudko barbadiyon mein, tanha kashti ke kinare se door rote dekha,
Kaash koi dekh kar puch leta humse haal kaisa raha mera…
Main wo diya tha jo andheron mein bhi jal nahi paaya,
Wo ek kissa hai jo kabhi kisi se bayaan nahi kar paaya…-
Baaki chai me cheene kam hai...
Tujhe dekhu tho mera dil ka noor lagti ho
Halka sa sharma jaao tho hoor lagti ho
Neeli saadi mein tumko ab kya bataye
Hey ADI! Mere nayan me laajawaab lagti ho
Saari ki tarif karu ya use pehenne wale ki
Iss saari me aasmaan ki chand lagti ho
Chalte ho jab, jhuk jaye raahein bhi teri
Phir kaise kahun ke sirf saari hi khaas lagti ho
Tere honthon pe jab muskaan saja karti hai
Mujhko khuda ki rehmat ka ehsaas lagti ho
Jhumkon ki halki jhankaar se mehka hai samaa
Jaise har moti mein basa ho koi dastaan lagti ho
Teri aankhon ka nasha bhi kuch ajeeb hai sanam
Gehraai mein inke, doob jaye har ek aalam lagti ho-
Ye adhuri shaam bhi tanhai me kuch shore karne laga hai,
Unse jab durr ho jaane par aasmaan bhi rone laga hai…
Kuch lakire shayad kamm pad gaye mere haathon se,
Kuch pyaar shayad kamm pad gaye jazbaaton se…
Dikha tho bahut kuch gaya par uske dil me jagah na bana paya,
Shayad mere unse kiye mohabbat me kuch daag laga hai…-
Tujhse karne baate bahut the jo ankahi reh gaye
Sunne sunane the wo jazbaate adhure reh gaye
Bharishey bheege badan se beh jaane lage
Dhoop se patte bhi chupke se sookh jaane lage
Tujhse bitai har ek par laazmi lagta hai
Tujhse baate na ho, wo waqt bhi udaasi lagta hai
Tu saath ho toh manzil bhi raah mein milti hai
Warna ye zindagi ka har lamha bezaar sa lagta hai-
गहरी नींद में सोए है ये दुनिया सारी,
बस एक हम हैं, जो तेरी याद में जागते रहे।
ज़माना तो युं ही गुज़रता रहा हर रोज़,
हम थे जो तेरे आने के इंतज़ार में रुके रहे।
वक़्त थमा नहीं, ना बदले वो मौसम,
पर इस सफ़र-ए-इंतज़ार में हम तेरे होते रहे।
बहते लम्हों ने चुपके से फ़साने कहे,
हर सन्नाटे में तेरा नाम पुकारते रहे।
चाँद भी थक कर छुप गया बादलों में कहीं,
पर तेरी यादों के उजाले हमें जगाते रहे।
तेरा ख्याल ही जैसे एक नया सवेरा था,
जिसकी उम्मीद में हम हर रात निभाते रहे।-
Dikhaya teri ye tasveer uss chand ko , wo chand bhi sharmaa gaya
Tumko dekh kar wo apna noor bhi bhul gaya…
Teri masoomiyat ka jadoo aisa chala, sitare bhi mehek uthe
Hawaon ne teri adaon ka naghma gaya, aur phir khud hi behek uthe…
Naa jaane tum kaisi wo ruhaniyat liye chalte ho,
Khamoshi mein wo chand bhi mohabbat ka izhar kar gaya…-
Cuteness ki noor lagti ho, mishri se bani shrikhand lagti ho,
Halka sa muskura do tho hoor ki pari lagti ho…
Har nazar tumhari kahani kehne ko betaab,
Jaise chandni bhi tumse udhar mangti ho…
Nazron me chand rakhti ho aur baaton me sangeet,
Tum khwabon me bhi aasman se utri apsara lagti ho…
Dil ke naghme bhi bas tere naam se sajte hain,
Jaise har ehsaas bhi sirf tere geet gungunata ho…
Apsara nahi, tu ek mithas bhari dastaan hai,
Jo har dil ke safar me ek geet ki tarah bas jaati ho…
Tumhe kitaab kahun tho galat nahi hoga,
Har ek panno me shayari lagti ho…-
Kuch logon ko bhang ka nasha chadta hai,
Aur kuch logon ke din aapki baaton se sajta hai.
Aap mein hai ek jaadu, ek baat nirali,
Jo har pal humse baatein karne ki pyaas jagati hai.
Aapke bina, zindagi ek adhoori kahani lagti hai. ✨-
Pehle awara tha, phir zimmedariyon mein silte gaye,
Manzil se milon durr kisi anjaane safar me agaye..
Umar bhadne laga ya zindagi se waqt chhantne laga,
Kahin na kahin, hum khudse judaa ho gaye..
Fanaahon me shamil thi kabhi mehfil apni,
Aaj unhi mehfilon mein hum anjaane ban gaye..
Rizq ke maidan mein jitna gehra utarta gaya,
Hum khudse hi bichadte gaye..-
Mil ja tu koi manzar par, hum safar karna chod denge,
Tu de koi bahaana, hum intezaar karna chod denge.
Tere sang har dukh-sukh ko apna lete hain,
Teri ek muskaan pe saari duniya bhula dete hain.
Mohabbat ke kisse toh kayi hain duniya ke paas,
Tere bina hum apni kahani likhna chod denge.
Tere pyar ke noor mein apna wajood mita denge,
Teri khushi ke liye zindagi ka har raag gaa denge.
Bas tere saath ka ehsaas hamesha saath rahe,
Tere bina hum apne armaan sajana chod denge.
Tere saath ki chahat mein jazbaat behak jaate hain,
Tere ishq ke noor mein armaan mahak jaate hain.
Teri khushi se roshan hai meri har subah,
Tere bina hum apne sapne sajana chod denge…-