Tu zara intezaar kar mai abhi aayi
Tu zara intezaar kar mai abhi aayi...
Accha filhaal tu ja
Mujhe abhi khudko dhundne me thoda waqt lagega...-
Like my facebook page- 'Lines by heart'
Ha zindagi ajib hai
Par zindagi kareeb bhi hai...
Zindagi apni bhi hai
Par zindagi parayi bhi hai...
Zindagi me sab kuch thik bhi lagta hai
Par phir lagta hai bhaut kuch kharaab bhi hai...
Ab kya kahu is zindagi ke baare me samjh nahi aata
Bas aakhir me sab kuch thik bhi ho jaae yahi is zindagi ki shaan bhi hai...-
KYA YAHI HAI ZINDAGI
Aaj mai chup hu udas hu,
Kal kabhi mai khilkhilati thi,
Zindagi ke har pal ka maza uthathi thi,
Pata hi nahi chala kab ye khilkhilaana aasuo me badal gaya... KYA YAHI HAI ZINDAGI...
Kisi baat ki parwah na karna,
Khul ke jeena, yahi ada the mere jeene ki,
Aj khul ke hasne se dar lagta hai... KYA YAHI HAI ZINDAGI...
Maine kalke baare me kabhi nahi socha,
Zindagi ko humesha ek tohfa samjha,
Aaj dar lagta hai ki aage kaise hogi ye zindagi... KYA YAHI HAI ZINDAGI...
Apne lafzo ko zyada to byaan nahi kar pa rahi hu,
Lekin bas itna samjhna chah rahi hu... KI AAKHIR KYA HAI YE ZINDAGI?-
Pata hai sukoon ki zindagi kya hoti hai,
Ki jab tum apne maa baap par dependent hote hai, independent nahi hote hai...
Kasam se sukoon ki zindagi sirf tabhi milti hai...
-
Dil se yahi dua hai, ye naya saal sabke liye behtareen ho...
Is naye saal me aane waala har din Aafreen ho...
Bas itni guzarish hai ap sab se,
Dil mat dukhana is naye saal me kisi ka, aur apki isi neki ki wajeh se apka saal zareen ho...
-
Yaad hai tujhko jab pehli dafa tune mujhse raabta kiya tha, kuch to tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko jab pehli dafa tune mere saath walk krte hue 5km ka safar tey kiya tha, kuch tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko jab pehli dafa tune meri aankho me dekkhar kuch waada kiya tha... kuch to tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko jab pehli dafa tune mera hath apne haatho me thama tha, kuch to tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko jab pehli dafa tune mujhe gale lagaya tha, kuch to tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko Nikah krke jo tune mujhe Qubool kiya tha, Kuch to tune na kehke bhi kaha tha...
Yaad hai tujhko...❤️-
Logo ne badi koshish ki mera naksha e haal bigaarne ki...
Logo ne badi koshish ki mera naksha e haal bigaarne ki...
Par mera jo khuda upar baitha hai usne mujhe sambhal liya...-
Hai wo naari,hai wo sakhti, hai har ghar ka abhimaan wo...
Duniya me tum na samjho use kisi se piche, ha hai gulistaan wo.
Jab jab hum par sankat aaya, khadi wo rahi aage humare,
duniya me har roop hai uska nirala, kabhi maa, kabhi beti aur behen banke usne hai har rishte ko hai sambhala,
Nahi hai aj wo kisi se piche, usne mehnat se apna ghar kiya Aabaad, to aao kaho sab milke ek baar Nari sakhti Zindabaad.-
Bhul jaati hu mai muskurana bhi kabhi kabhi...
Na jaane kaha lekar ja rahi hai ye zindagi...-
Aksar aadhi raat me hi kuch likh paati hu mai...
Ye sabut hai is baat ka ki meri dil ki awaaz ab bas sukoon mangti hai...-