Tum shabdo mai kharch kiye kisi kavi ki kalpana si lagti ho
Hakikat Mai bhi kisi kalpanikta ki rachna se lagtiho
Tum ulajhay yeh zindagi mein koi suljhi icha se lagtiho
Meri duao ke takdir se lagtiho
Khuda bhi Aman kare aysi koi tasbir se lagtiho
Tum delhi ki kapkapati sard rato mai
Nasib hue vo akhri rajai se lagtiho
Tum jiban ke jang mai khoye Bachpan ki yaad se lagtiho
Aaj bhi laut jane ka man kartahai tum mujhe apne gaon se lagtiho-
Sari de do
Jo maange vo tumse tumhari chahat
Mohobbat ko bhi tum uske nam kardo
Jo maange vo tumse tumhari nafrat
Khayal rahe tum usse kai dur ho
Jo maange vo sapne tumse
Rakhna unhe hi lifafe mai jo pure ho
Jo maange tumse waqt tumhara
Tab tum vohi mojud ho
Jo maange thoda waqt tumse
Thoda waqt use bhi apne sath bitane do
Jo khushiya maangne, kurban kardo
Jo khushiya bate to sametlo
Jo rang khile toh rang jao
Jo rang badle thoda thar jao
Jo waja maange sari dedo
Jo sazaa maange vo bhi dedo
Hato ko apne ab khali kardo
Chahe agar vo toh lakiron ko bhi uske nam kardo
Agar sath tumhara boj lage toh lout ao
Ghar abhi bhi tumhare intezar mai hai ab toh samjh jao-
Behtarin toh kuch bhi nhi yaha
Par shayad kal se aaj thoda behtar ho
-
I know we both are damaged
And I know how it feels
But I cannot hold two broken hearts inside me
-
Tum faisla badhi jaldi le lete ho
Aur Zindagi apni irade utani hi teji se badalti hai
-
Aajkal Jawan bas sach bolate hue ladkhara ti hai
Aur jhut utni hi safai se bol jatihai
-
Samjhdar yaha har koi, samjhdari mai kaid hai
Par koi samjhdar, samjhdari ko samjhkar samjhna hi nahi chahta...-
In badalte rango ke duniya mai
Tumhe khojna mereliye namumkin sa lagtahai-
Khud hi khud mai uljha
Gairo se bhi toota hu
Har bar mujhse mai hi toh piche choota hu-