gr khwab me tu ayi or fir se dil tod gayi to mera kya hoga..
Haqeeqat to kabhi meri thi nahi, kwab bhi mera na hoga
-
Uski yadoñ ke manjhe me is qadr uljha hai dil mera
Ab to wo pal bhi nahi bit'ta jo barso pehle beet chuka hai-
Shayad Mujhe kisi se mohabbat nahi huyi
Shayad khud ko darta hooñ kho na dooñ
ghantoñ bateiñ kiya karta hooñ khud se
apne dard, apni khusi, apne jajbat sabhi sajha kiya krta hooñ usse
Galiyaañ, taane, mashware sb diya karta hooñ
Kabhi has liya krta hooñ,kabhi ro liya krta hooñ
Hogi mohabbat to honge yahi fasane sare
Shayad samne uske darta hooñ ro na dooñ
-
Dour-e-firaq me jiye ja raha hooñ
Lamhe ko saalha kiye ja raha hooñ
Bahut hi mashruf rahta hooñ ajkl
Tute huye dil ko siye ja raha hooñ
Ek haseen chand ke talash ki khatir
Bewajah hi tare gine ja raha hooñ
Zamane ke shyah andhyare me 'mashkoor'
Dil ko jala ke roushan kiye ja raha hooñ
-
samajh nahi ata apne jazbaat batauñ kaise
Dil to mustaqbil bolta hi rahta hai alfaz banauñ kaise
Kal mili wo mujhe, na jane kb se tha intijar jiska
Jate waqt boli selfie lete hain,koi batao ke muñh banauñ kaise
-
Bad tere jane ke mohabbat huyi mujhe fir se
Pr kyuñ na jane sharab kehte haiñ log use
Mana teri firaq ne sharabi bana diya mijhe
Mgr Kisi darmaan se bhulayi bhi to na gayi tujhe
-
Logoñ ne kaha mere dard ki dawa sharab hai,jise peena haram hai
To Maine khwaboñ me hi maykada bana liya..-
Log kehte the ki mohabbat mt kr lut jaoge,
Pr hume to jholiyañ bhar ke gham kamaye haiñ..-
Tujhe na pane se jindagi khatm nahi huyi
Tujhe kho dene pe khuchh baki bhi na raha...-