TKT Shaikh   (Tktquotes)
74 Followers 0 Following

Mera vakta kayamat ki Tarah hai Yaad rakhna aayega jarur
#mumbaiislife
Joined 1 April 2019


Mera vakta kayamat ki Tarah hai Yaad rakhna aayega jarur
#mumbaiislife
Joined 1 April 2019
2 APR AT 22:30

Mere pahlu me rishton ke khandak lage hue
Juban si li hai apne khwab dafan hai
Jatan karne nikle iktarfa rivaajon ko
Aankhe band chup ye mera Raaj ye mera jahan hai

Bhaage daude khudke khilaf kiye saude
Aankhe nichi aur kaano per sargoshiyan hai
Dil per Zakhm jinke unhi ke liye wo hazir hai
Aankhe band chup ye mera Raaj ye mera jahan hai

Sitaaro ke aasman me Chand kahi khoya hai
Kaale baadlo ka siyaah sa hamsaaya hai
Roj nikal padta hai khudko talashne ko
Aankhe band chup ye mera Raaj ye mera jahan hai

Jhuthi muskurahat odhe mukhote ye chehere
Atraaf ko kare khush khudki kadar kho di hai
Ek aavaj par namurad beete iljamat bhul chuke
Aankhe band chup ye mera Raaj ye mera jahan hai

Sile hothon ko khole to tamashbin muashre me
Girdaab ye jhuto ka matlabi kirdar hai
tolkar dekh rishton se uncha khajana hai
Ye paisa bole Aankhe band chup ye mera Raaj ye mera jamana hai

-


31 JAN AT 1:06

Girdaab wo fitoori ka har lamha behaal hai
Majhi ki yaado se Aab bass malaal hi malaal hai

Kaise keh du kisse kahu koi kaha dikhta na yaha
Farebi fasane fursat nahi wo falsafe sunane
Wo baato me maahir aur meri raate pechida thi
Aadat lagi vakti Taur par apnaane Valo ki
Maujuda saksh jhuti muskurahat ka mukhota liye
Mukhtasar mulakat ka muntazir shaksh malaal me

Girdaab wo fitoori ka har lamha behaal hai
Majhi ki yaado se Aab bass malaal hi malaal hai

Khwab me Khwab wo aaj bhi hai khwabon me
Haqikat se wabasta aur ektarfa rishton me ghire
Raate andheri saari unke jakhmon par marham bane
Jab rahat mili dardo se toh marham najar andaj lage
Wo vakt tha muntakhib vakt bitaane ka jariya bane
Aab dosti, rishte, intezar ye sab ek hi lafj istemal lage

Girdaab wo fitoori ka har lamha behaal hai
Majhi ki yaado se Aab bass malaal hi malaal hai

-


9 JAN AT 0:03

Ye sawal hamesha rahega mujhse tera
Kisi aur ko dil dete hue dil ko tatola toh hoga

Jab yaade aai hogi kitni hi saari saamne
Mera chehra Kya usme najar aaya hoga
Woh mithi si baate aur mulakat ke vaade
Tujhe woh fazar ka chand aab najar aata hoga

Subha uthte hi pehle meri Khair lena
Phir Wo subha ki mithi chai aur mujhse guftgu karna
Har pal me tha me tera aur tu pal pal leti khabre
Tere kitabon me kya aaj bhi mera naam kahi hoga

Ye sawal hamesha rahega mujhse tera
Kisi aur ko dil dete hue dil ko tatola toh hoga

Mere ruth ne per Wo teri khas saheli ko meri shikayate lagana
Phir khud hi maafi maang mujhe hak se manana
Intezar me ke kab hogi sham aur mujhse baato ka bahana
Wo chath per kya aaj bhi aasman utna hi khubsurat najar aata hoga

Haa jaanta hu jaani aab wo saare pal kisi aur ke aur tere naam ke sahare
Per kya wo bhi meri tarah tujhse baat karte hue najre jhukata hoga
Ehtram tha wo pyaar me aur baato me lihaj tha
Kya mere baad wo bhi tere naam pe sadka utaarta hoga

Ye sawal hamesha rahega mujhse tera
Kisi aur ko dil dete hue Dil ko tatola toh hoga

-


30 DEC 2024 AT 13:08

Pehle hi zindagi ye itne bojh uthaye baithi hai
Ye iktarfa rishton ke bojh kyo bhala uthati hai

Din duniyan se vakif me Lekin Unse bhi duri banai hai
Ye tanha rehne ki fir se mujh par dhun kyo chhaii hai

Mene apno me apno ko dhundne ki nakam kosish ki hai
Saare khamosh yaha kisi ki bhi aahat mehsus hi nahi hai

Haa jaanta hu jaani ke ummide har vakt laati tabahi hai
Tabhi ham chup jatani nahi kisise koi bhi narajagi hai

Jab tum lekar aaoge vakt apnaa kahate hue kisse aur kahaniya sunana hai
Me bhi keh dugaa wo Tahir toh kho gaya muntazir safed libas ka hai

-


19 DEC 2024 AT 23:18

Khud se chipke Baitha hu kone me
Andhera kaafi koshish bekadro ko khone me
Kadr kho chuki ehtaram bhi aab na zahen me
Baate Tanhai se vakif yaha koi apna nahi hai
khud se mil chuka hu aab vahi purana jahir me
Khamoshi sathi thi meri aur kuch likhai ke panne hai
Bhatke raahi ne sabak sikh liye kaafi the
Intezar uss vakt ka wo dafan hone me kafi hai
Zakhmon ko khuredna jari rakha tha matlabi rishton ne
marham samajhke bevajah bevafao ke sahare the
Pyaasa me aur wo kuaa kaafi dur dikhe
Majhi ke Bojh tale raftaar saari dhimi pade
Ummiden lagake har pal rusvai hisse mile
Kuaa wo sukhaa farzi pyaas bolo kaise bujhe

-


11 DEC 2024 AT 18:24

Bhatke musafir ko najane konse raah ki talab hai
Aur jaante saare har safar ki Manjil kabar hai

Ye dil ke vasvaso per hoti hairaani hai
Phook ke aayat-ul-kursi bhi Dil mein rehti bechaini hai

Safed libas odhne ka jii chaahta hai
Mefil me khairiyat alhamdulillah batana hai

Khwaab adhure yaha akhiri Lamhe tak intezar me
Vakt karib inna lillahi wa inna ilaihi rajiun padhte hai

-


20 NOV 2024 AT 23:06

Likhna toh aaya lekin bolna nahi aaya
Mujhe zindagi me khudke liye ladhna nahi aaya

Aaj jab muh khola toh rishton ko mene rutha paaya
Jab ki baate haq ki tute ghar ki deewaro ko rona aaya

Bachpan wo andhere me bataa har khilona tha
Jawani jimmedariyon me khwabon ko kho raha

Pyaar bhi mila ektarfa karibi rishton ne khub rulaya
Jisko di ehmiyat usne kya kabhi tujhe apna bataya

Roj jakhm bhare din aur raaton ne khub jagaya
Mene pucha 'Tahir' se tune aabtak kya kamaaya

-


17 NOV 2024 AT 23:35

thehra vahi karne khudki khuddari ko barbaad
Gam e zindagi me lage aab maut se ho mulakat

Lage apne paraaye aur tute ghar se hu pareshan
Roj vahi jakhm bhare din aur adhure khwaabon me dubi raat

Mutasir saare mujhse per na koi mera Hamraaz
Siyaah sa me vakti taur per aanevalo ki lagi kataar

Fir bhi badal nahi paata ye kaise mere andar bhare jazbaat
Auro ke taraju me tolkar khudko me sabki ummidon pe khara utra harbaar

-


4 NOV 2024 AT 23:55

Shabaab sharab sab dhoka hota hai
Madhosh hokar apni ijjat aabaru khota hai

Wo likhte hai ke Daulat hoti sabse upar
Me likhu jab jab maut toh kahe ye zindagi hai sabse upar

Haqikat ye hai ke ye bass jismon ke bhuke hai
Asli mohobbat haa bass ye khudko dete dhoke hai

Daulat daulat paani toh umr bhi kam pade
Jhut ke girdaab me fasi duniya ye fani hai

-


27 OCT 2024 AT 23:38

Rehti hai dil me ek udaasi si chaaai
Jahen me har pal gehri soch hai samaai
Ye roj ke masle aur ye majduri har din ki
Ghar lautkar bhi sukun dhunde ye parchai

Bachpan ke dino me lautna chahe har koi
Me Rutha uss bachpan se yaadon se bhi duri banaai
adhure ham dhoop me sadak per door ghar se kahi
Jhuthi ummiden wo jhute dilase raate sabhi siyaah si

Azmaisho ki fehrisht me khwahishen doob rahi
Nind lage kam raate jaage sirhaane bhige kai
Mera sabar aab tut raha rooh maange rihaai
Phir soche ye dil abhi toh baaki aur hai ladhai

-


Fetching TKT Shaikh Quotes