Wo chandni raatein
Humari beshumar baatein, arre yaar rehne do
Wo jhumka, teri kajal aur tumhari muskurahat
Ab toh sirf yaadein hai, rehne do
Yeh sadakein, yeh baarish
Aur wo kulhad ki chai bhula nahi main
Dheere dheere kahan kho gaye hum
Ab inn baaton ka koi fayida nahi, rehne do-
Wahi kitaab mein the hum dono
Bas panne alag
Jaise sharab jaisi tu
Aur main bottle mein paani alag
Waqt ne accha khel
Khela hai humare saath
Main isi makaan par theher gaya
Ab tera pura sheher alag-
Milo kabhi
Kaisi ho? Kya kar rahi ho?
Jaise char baatein karunga
Aur chala jaunga
Ghar main sab theek?
Suna bhai ki shaadi ho gayi,
Jaise char baatein karunga
Aur chala jaunga
Karunga char baatein
Mausam ke baare mein
Aur phir puchunga ki
Chai piyegi?
Guazaarenge ek shaam aise bhi
Phir kabhi meri yaad aayi toh bulana
Aaunga, char baatein karunga
Aur chala jaunga-
Mera dukh aur dard dekh ke koi paas nahi aa raha
Ab toh chaand se bhi baat nahi ho raha
Masla yeh hai ki raat bohot ho gayi hai
Aur masla yeh bhi hai ki zimmedariyan kam nahi ho raha
Jaate jaate jawani yeh keh gayi
Tadapoge bohot mujhe wapis paane ke liye
Waqt beeta ja raha hai
Subah bhi nahi ho raha aur neend bhi nahi aa raha-
Afsos yeh hai ki mausam baarish ka hai
Afsos yeh hai ki khwaish bhi teri maujudgi ka hai
Afsos yeh hai ki saath mein tum nahi
Aur afsos yeh bhi hai ki baarish bhi rukh gayi-
Gunhegaar hoon, jaadugar nahi
Galti karta hoon, zyada bhi nahi
Itihas likhna hain, haath mein abhi kalam nahi
Jawani main hoon, mera waqt abhi aaya nahi-
These starry nights were not meant to be sad
These were supposed to twinkle
Is there a message these nights are sending me?
With the tears in my eyes, I can not see them
Whilst I want to at least hear them,
The sounds of responsibilities are not letting me
Even though I would like to share my secrets,
My fragility has made me not to trust anyone,
even these starry nights too.-
Wahi tham ja
Jaha milunga tujhe
Bol de jo bolna hai
Jaha milunga tujhe
Tujhse milne ka intezaar bohot hai
Aur rumi sahab ka baat yaad aata hain
Sahi aur galat ke paar ek maidaan hain
Main waha milunga tujhe-
Tum jo aati thi classroom se bahar
Muskurate hue
Wo zulfein sawarte hue
Aankhon se ishaare dete hue
Yaad aate hai wo pal
Jab sirf bacche the hum
Dil ke kacche the
Aur mann ke sacche the hum-
Tujh se milkar mann meri bhari bann gayi
Diya tujhko dil aur wo tumhari bann gayi
Tune jo kaha mujhe humare bichad ne ke baad
Dil pe lagi baat aur shayari bann gayi-