Yeh kuch aadhi-adhuri, todi-tuti, cheezein saath leke bhatak raha hoon,
Par ek umeed hai,
Pata nahin iss ki neev kya hai?
Sayad kisi ka intezaar hai,
Koi jo aaye toh saath khusiyan laye,
Nadiyan bhar ke sadke laye,
Khwabon se bhar ke sadiyan laye.
Khwab jo mujhe dekhe, kuch jinhe main dekhun,
Woh chale toh saath chale,
Haath thame baant chale,
Kuch pyaare lamhe,
Jo chale toh saath chale,
Haath thame sadiyan chale.-
Kyun hai aisa,
Pat jhad mein jhade ek ped jaisa.
Kyun hai aisa,
Murjhaye se ek phul jaisa,
Dhundhle se ek khwab jaisa,
Ek khwab so hakeeqat ban ne ko taras raha hai, par ban na paa raha,
Uss khwab jaisa,
Kyun hai aisa?-
Sab kuch badal sa gaya hai,
Pehle jaisa kuch abb raha hee nahin.
Kuch lamhe, kuch cheezein, kuch jagah, kuch raaste jo kabhi khash hua karte the,
Abb unn mein woh baat hee nahin hai.
-
Yaar abb woh pyaar ki kya jismein quarbaniyaan na ho, itna toh kar hee sakta tha na main uske liye, toh baat karna chod diya maine uss se.
Shuru shuru mein lagta tha ek text toh karegi, achanak se baat karna band kar diya tha, kya pata reason hee puch le sayad.
-
Apni kismat se aachi tarah wakif tha main, mujhe pata tha yeh khusi bas chand lamhon ki hai.
Woh bas formality ke liye baat kar rahi hai mujhse, baki usko baat karne ka koi interest nahin hai.
Humari conversation mein uska uncomfortable hona samajh aata tha mujhe, phir ek din pata chala ki baat karne mein problem sach mein hoti hai ussey.
-
New year ke kuch dino baad thodi bohat baat cheet shuru hui thi humari, badle mein uska bhi reply 'emojis' mein mil hee jata tha, jyada baat karti nahin thi woh lekin phir bhi uska emojis wala reply mere liye jaise pyaase ko paani tha.
Phir dheere dheere usne bhi baat karna chalu kar hee diya tha, ek baar phir se mere dil ne uske liye love song likhna chalu kar diya tha.
-
Tumne thukra diya toh , uss lamhe ko yaad bana liye maine.
Anjana tha jis ek tarfa pyaar se, uska bhi swaad chakh liya maine.
Kuch samajh mein nahin aaya, kya ho gaya...
Tumhe dekha toh hosh kho diya, jab hosh sambhalne gaya toh tumhein kho diya.
Kuch pal ka aana jana tha tumhara...
Pagal tha main bhi, jo tumhein rokne chala tha.
Bhala jaane wale ko kaun rok sakta hai, yehi sooch ke main hans ke roo diya.-
Mere dil pe sawal hai ki ...
Kya abhi tak mujhe uss se pyaar hai?
Main hans deta hoon aise sawalon pe ...
Lagta hai woh isse koi mazak samajhte hai...
Are bhai..
Pyaar tha , Waqt nahin
Jo beet jaye do pal mein.-
Par abb pata nahin kyun sab kuch chuta chuta sa lagta hai.
Jahan ek time pe yeh sochte the ki school kab khatam hoga,
Abb school ki wohi yaadein sabse zyada satati hai.
Woh teacher ki daant jinse hum bhaga karte the,
Abb woh daant sabse zyada yaad aati hai.
Yaad hai woh waqt jab hum milke ghoomne ka plan banaya karte the,
Afsos abb toh milne ka bhi plan banana padta hai.
-
Yaad hai woh games period, jo pure hafte mein ek baar hua karta tha,
Apne hafte bhar ka tension tab ground pe nikalta tha,
Padhai ki saari fikrein kahin gayab ho jaya karti thi,
Pairon mein jab football aur samne jab goal post dikhti thi,
Yaad hai woh farewell ka din, jab humne ek dusre ko akhri baar ek saath paya tha,
Life time touch mein rahenge aur call pe har roz baatein karenge ek dusre ko yeh bataya tha,-