मुश्किल वक्त मे जो सबके ग़म सुना करते हैं,
बातें उनकी अक्सर अधूरी सी रह जाती हैं।।-
Bas-bas ab bas bhi kariye,
Kanoon nahi to ishwar se dariye,
Wo mard hai par insaan to hai,
Thoda hi sahi par uska bhi samman to hai,
Tum jhootha molestation ka case to kar dogi,
Upar se paise bhi ainthogi,
Apna samman wo ladka haarega,
Saara sansaar use dhikkarega,
Jab ki galti uski to katai na hogi,
Jab ki teri baaton me sachchai to katai na hogi,
Uski ruh ko bhi tum choor karogi,
Usko tum majboor karogi,
Uska parivaar bhi kitna kuchh jhelega,
Uska dimag bhi sang me uske khelega,
Koi uski baat sunega nahi,
Har koi apna kissa to bunega hi,
Wo baukhlaega, wo roega,
Apna saiyyam wo khoega,
Jeene ki shayad koi chahat phir bache nahi,
Ye saansar use phir shayad jache nahi,
Sabke khaate me paap ye haan chadh jaega,
Jab khuda ke paas pahuch wo jaega...
-
Padhti hun akhbaaron me,
Kisse saare haivanon ke,
Ruh kaanp uth'ti meri,
Jaan chali jaati meri,
Khud ko kitna samjhati hun,
Phir bhi sadkon pe ghabrati hun,
Anjaano se darr jaati hun,
Ek lamhe me sau mautein mar jaati hun,
Sochti hun ye baar-baar
Kya mardangi bas itni hi hai?
Ki noch khaoge jism ko tum?
Yaad hai aata bachpan phir,
Bachpan bhi kitna achchha tha,
Pyaara bhola-bhala tha,
Tab darti thi shaitano se,
Ab darti hun insaano se,
Par bachchi bhi kahan salamat hai,
Haivaniyat ki hadd ye hai,
Jeevan ka beda paar ye ho,
Un haivanon pe vaar jo ho,
Par hoga kab ye to kahiye?
Yunhi chup-chap pade to na rahiye,
Kab ladki raahon pe nahi daregi?
Kab ladki bekhauf rahegi?-
घर बिठा लेते हैं माँ-बाप अकसर ये सोच कर,
की बिटिया तुझसे बढ़ कर तेरी आज़ादी नही है।।-
Bheegi aankhon me phir pyaar bhar lete hain, Bewakoof hain hum jaan-e-jaan har kisi pe aitbaar kar lete hain..
-
Aashiqui duniya ka ek beyhad khoobsurat rishta hai..
Aur dosti is duniya ka sabse behtareen taufa..❤-
समझते हो भले तुम सारे जहान को,
पर समझे कोई तुम्हे भी ये उम्मीद मत रखना।।-
बदलते हैं खुदा तक यहाँ लोग सड़कों पे,
जान-ए-जान तुम ज़रुरत पड़ने तो दो।।-
Kitna bhi roke koi khud ko,
Ye ishq kahan ruk paata hai,
Kitna bhi thehra koi kyun na ho,
Ye nasha to chadh hi jaata hai,
Deewarein do bana tum beech me par,
Har deewar ko tod ye jaata hai,
Hai ishq nhi koi khel sanam,
Is aag me har koi jal jaata hai,
Khud se badh ke ishq hai hota khatir jiski,
Aashiq wo hi kehlata hai...-
Ruh-parinda kaid tha jeevan me jo hua wo aazad,
Ek naye adhaye ka hua hai dekho aagaz..-