I start getting closer to the world
-
Let go the pain which is
embedded deep inside you,
Let go the pages of your diary
which has many scars in it,
Let go the people who hurt you,
Let go all the fears back,
Let go the heaviness of pain
created in your heart and
fly with brighter colours this year π
Happy new year guys β¨οΈπ
Stay happy stay blessed π π
-
Sile huye ghaav bhi ab khulne lage hai
Zakam ke dard bhi badne lage hai
Bas kar yeh zindagi ab imtihaan lena
Jeene ki umeed mai hum ab marne lage hai.-
Chup chup kar rona aasan hota hai
Mushkil toh aasuon ke saath muskurana hota hai.-
Zakham dilo ke bharte nahi hai
Jugunuon se andhere mith te nhi hai
Dil-e-dard ko khuredne se kya hoga
Murjaye huye phool khilte nahi hai-
Rishte waqt ki tarah badalte jate hai
Badalte waqt ke saath bhikarte jate hai
Waqt ki bediyon mai kaid rahkar bhi
Ussi bediyon mai ulaj te jate hai
Galatfehmiyon ki kadiya
aise jud gayi hai ek dusron se
Suljane par bhi nahi
suljaye jate hai
Waqt ki bediyon mai kaid rahkar bhi
Ussi bediyon mai ulaj te jate hai
-
Ab fir se bikhar gaya wo dil jo kabhi juda karta tha
Jo baat baat pe tere liye roya karta tha
Par toot na jana inn behte aasuon se tum
Hosla naav ka toofano se hara nahi karta
- Tejaswi Patil π-
Khokar tumhari yaadon mai kaha tak jana hai
Jaha se chale the wahi pe wapis aana hai
-
Kabar ka andhera ab maut ka farishta lagta hai
Kabar ka andhera ab maut ka farishta lagta hai
Zindagi ke pahelion mai ab sabse aasan sa lagta hai
Kaafi mushkil tha yaha tak aane ka safar
Kaafi mushkil tha yaha tak aane ka safar
Ab bas kabar tak ka intezaar aasan lagta hai
Apne hi jaal mai phasa hai ye maan
Apne hi jaal mai phasa hai ye maan
Ab toh bas pannoh mai chupe raaz sa lagta hai
Kabar ka andhera ab maut ka farishta lagta hai
Zindagi ke pahelion mai ab sabse aasan sa lagta hai
Kyu shikayatein kare ab logon se
Kyu shikayatein kare ab logon se
Jab apni talash mai wo bechara khud hota hai
Taqdeer ke khel mai insaan ab ek khilona hai
Taqdeer ke khel mai insaan ab ek khilona hai
Bas usse logon ko khelne tak ka intezaar hota hai
Zindagi kaisi hai ye paheli si
Zindagi kaisi hai ye paheli si
Kadmon ke nishaan lahron se mithne tak ka intezaar hota hai-