Soch jiski gir gyi ho
Use bekar h uthana
Jaise aandhiyon me vyarth h
Bujhte diyon ko jalana-
Raat ki bahon me
Chalo sapne nye bunte h
Bahut hua ab milna aur bichhdana
Kah do na mujhse tum jo chahte ho kahana
Khule aasmaan k neeche
Taron ki madhyam roshni me
Chalo ek dusre se sab sach kahte h
Saare gile shikwe bhula kr
Jeewan bhar k liye ek dusre k hote h
Waqt hamara h
use muththi me kaid krna h
Na suno un baton ko
Jo bekaar me log kahate h
-
Mehanat se takdeer badalti
Din- raat ka fark na karke
Pragti path pr chalte chalte
Haathon ki lakeer badalti
Apni haar se himmat na khona
Kismat ka na rona ,rona
Sach kaha h dost kisi ne
Boond- boond se gagar bharti-
Gum kr diya h khud ko
Sabki muskaan lautane me
Sbne jaisa chaha
maine Khud ko waisa hi bnaya
Bht baar sbki khushiyan k liye
Maine mujhko h rulaya
Na jane kya milta sbko
Mujhe hr roj aajmaane me-
Shabd aazad hote h
Esliye to shando me hote h hamare pran
Duniya k sb hathiyar se jyada khatrnak h
Naino k baan aur shabdon k baan
Shabdo ka chayan thik na ho to
Mit jaati hamari aan , baan , shaan
-
Dil ki baat dil hi jane
Jaise shama ko jane parwane
Fir Soch ne meri karwat badali
Lagi dil ki baaten juban pr aane
Waqt bhala h ya bura h
Ye tum kya jano hm kya jane
Kah lene do baat ye dil ki
Hm lge dil ko samjhane-
Duniya ki bheed me
Jb koi apna mil jaye
Khushi itani hoti h
Jaise patjhad ko Vasant mil jaye
-
Khwab me sirf tum ,Ruaab me sir tum
Yaadon me tum ,meri baaton me tum
Sochte hu ye khwab jb
haqeeqat me badal jayega
To b tumhara pyar mere liye
waisa hi haseen rah payega
Esliye to aapko sirf khwabo me hi chahti hu
Haqeeqat me mujhse dur na chale jao ye soch kr ghabarati hu
Meri zikra me tum , meri fikra me tum....-
Dil ke tamashe se
dimak k darwaje khul jate h
Jo sochte the hm kuchh nhi h Unke bina
Unke hausale aasamaan tk pahuch jate h
Apne junoon aur zid se
kl jo kuchh b nhi the
aaj bahut kuchh bn jate h
Esliye to dil k tamashe kai baar
Hame sahi raah dikhate h
-
Majhdaar me fasi naav ko lga diya kinare
Aao ped ki chhav me baith kr
kuchh der prakriti k sath gujare-