Tauhid Ali   (Tauhid Ali)
21 Followers · 4 Following

Love to write✍️
Foodie 😋
Joined 20 July 2020


Love to write✍️
Foodie 😋
Joined 20 July 2020
9 FEB 2022 AT 20:37

Ek taraf aaram se baith kar padh rahi hain betiyan
Toh Ek taraf apne haq ke liye lad rhi hain betiyan
Wo kehti hain hijab se hi meri pehchan hai
Wo kehti hain hijab se hi meri shaan hai
In betiyon ki toh bas ek hi pukar hai
Humein bhi toh padhne mile bas yahi guhar hai— % &

-


21 JAN 2022 AT 18:07

Ek ajab si kashish hai tere chehre par ae humsafar
Jab bhi tujhe dekhta hoon manzil bhool jata hoon

-


19 OCT 2021 AT 9:21

Hamesha khush rahte hain dusron ko hasane wale
Bahot pachtate hain logon ko satane wale
Kisi ki madad bade khamoshi se karo sahab
Nazaron mein gir jate hain ehsaan jatane wale

-


1 AUG 2021 AT 8:46

Sab kuchh batane ko kehti hai
Kuchh na chhupane ko kehti hai
Mushkilon se bhagte nhi hai keh kar
Us ka saamna karne ko kehti hai
Ghar der se aane par papa se bachati h
Khud lad kar maa se dant lagwayi hai
Maa na ho to uski tarah rakhti h khayal
Pareshan dekh kar bar bar karti h sawal Ye sach hai har kisi ka kehna
Ek hazaron me hai meri behna

-


19 JUL 2021 AT 15:10

Zubaan kadwi zaroor hai kali nahi
Sach bolta hun main gaali nahi
Ye bahot tajurbe ki baat hai sahab
Jhooth se khushi milti hai tasalli nahi

-


8 JUL 2021 AT 8:43

Tere ishq me is qadar doob gya main
Tujhe dekhne ko teri gali khoob gya main
Aisa lag rha hai tere rooth jane ke baad
Mano khud se hi ab toot gaya main

-


20 JUN 2021 AT 8:10

Pita se hi hamari Pehchan hai,
Wo agar hai to sara Jahan hai
Wo khada hum sab ki chhaya bane,
Chhat na ho to khula aasmaan hai
Hai wo sitaron k manind roshan diya,
Khushi se humara sara dukh dard piya
Mushkilon me bhi is qasar muskurata hai wo,
Har musibat se ladna sikhata hai wo.
Ya khuda lambi kar umar Unki
Hamesha hasta dekhun yahi armaan meri

-


7 JUN 2021 AT 8:13

Kisi ka bura soch kar tumhe kya mila,
Achhe ko achha aur bure ko bura mila,
Log apne zaroorat tak chalte hain saath,
Zaroorat me saath hamesha khuda mila.

-


3 JUN 2021 AT 19:43

Baat jab desh ki mitti ki ho to duniya se lad jaun
Tiranga lipta ho badan par aur samman se jaun

-


2 MAY 2021 AT 21:05

Itna mat chhupa khudko is duniya se sahab,
Is kalyug ke dor me jo dikhta hai wahi bikta hai

-


Fetching Tauhid Ali Quotes