Main wo han'th hu jo thama na gya...
Main wo chasm huun jo musalsal behta gya..
Main wo dil hu jo guftaar karta gya..
Main wo lab hu jo khamosh rha...
Main wo dhadkan ka saaz hu jo suna na gya..
Main wo gul hu jise itr na mila...
Main wo baab hu jo mukammal na ho saka...
Main wo khayal hu jise tehreer ke liye alfaaz na mila....
Main wo ehsaas huu jo dil e nadaan mein daba rha....
Main wo harf hu jise likha na ja saka...
Main wo naghma hu jise gosh mein suna na gya...
Main wo takhay'yul hu jise silsila na mila...
-
*Allhumdu Lillah for everything ❤
*Passionate about writing
*Tabiat s... read more
Zindagi na jaane kis khayal mein guzaar de, huye bedaar neend se to khabar huye ek inteekhab mein guzaar de..
Tha karna qayaam kahe lazeman to kahe chalna tha musalsal tumhe ab kartay rahe shikwa ke kyun maine iss qadr takheer ke?-
Faqat itne he salahiyat hai mujhme ke soz ho bhale he kafiyat baatini, main wujuhaat suroor ke talaash liya karte huun....
Faqat itne he salahiyat hai mujhme ke mauj'on ke tughyaani mein daal kar safeena apna, main anjaam soch liya karte huun.. ..
Faqat itne he salahiyat hai mujhme ke rukh gar badle hawa apne to main abr e baraan o'rdh liya karte huun......
Faqat itni he salahiyat hai mujhme Nigar, jo pas e parda ho usey deeda e dil se dekh liya karte huun.....
-
Qalam sun raha hai sargoshiyan kagaz ke, marqoom hai jo qissay zarf ke saare, sukuut ho qalb mein tou khamoshi rahe lab'on pe...
Ye chasm ashk se gul posh hain jaise, soz mein qalb, nazar ho kisi gham gusar ke talash mein jaise....-
Zindagi ye safar aisa jahan insaan ke pao nhi unke dil thak'te hain..
Jo bina rukay musalsal chalte rahein, kya aap isey koi mamuli baat samajhte hain....
Musafir jo duur ke manzil ke hua kartay hain, wo kahan raah mein kisi bahas mein uljha kartay hain....
Dilon mein apne kaji to kam zarf rakhte hain, bulande ka zikr to yha faqat aala zarf he kartay hain....
-Tasmiya Nigar
-
Money can buy you temporary happiness but not everlasting peace
-
Khud he say sawaal karne pe kaasir hain insaan aur jawaab duniya se lena ka hausla dekho
-
Taa'ir pardh rahein hain naghm'en saba.h mein, main gosh mein Nigar apne sukuun kar rahe huun....
Khayalo'n se hua karte hai ibtida e safar insaan ke, main apne takhay'yul se he musalsal safar kar rahe huun.....-
Gar ye gul chaman ke saare abr ho jaayein, faza mein itr rang fishan ho jaayein....
Main jo dekhu chasm e hairaan se Nigar
Ya Rab kya aisa nhi ho sakta, Deed mein ye manzar kahe qaid ho jaayein...... .
-
Aarzee hain ye raunaq'en saari, na bhar jaaye Duniya se ek din dil tera, haan gar baat hai insaan ke to phir mukhtalif hai
-