Narm cheezein kahan tootti hain
Tootte toh sakht hain,
Chahe wo dil ho yaa kaanch
Isliye kahte hain dil ko
Narm rakha karein.-
Khushi se zyada
Gam manaya hai mai ne
Apne dukh chupa k
Dusro ko hai apnaya mai ne-
Usne mujh se kaha bhi tha
Ki lamba hai rasta dur hai manzil,
mai ne bhi keh diya, mere liye
tum hi rasta tum hi manzil-
Kaisa lagta hai na
galti naa hone k bawajood
aap maafi mangte ho
magar aakhir me aap khud se
haar jaate ho-
Khuda maaf kar deta hai
Par insan maaf krne k baad bhi
Galtiyan khuredta hai-
#Mushkil hoti hai
kabhi kabhi wo baat
Jise kahne ki koshish hoti hai
Use kahne me
Mushkil hoti hai
Us baat baat ko bata pana
Jisko kahne k liye jazbat hote hai
Par alfaaz nhi hote hain tab
MUSHKIL HOTI HAI
Yakeen nhi hota hai is baat par
Ki is duniya se hun mai
Par yaqeen hai is baat ka ki
galat nahi hun mai, bas alag hun
isliye shayad mujhe
MUSHKIL HOTI HAI
Logon ke kayi sawal hai mujh se
Par mera sawal khud se hai
Ki nahi samjh paaye hum
nahi jaan paaye.. kya zaruri hai jaan lena?
Or jaan kar samajh jana! kyu ki mujhe
MUSHKIL HOTI HAI
-
Kyu ki insan matlabi hai
apni musibaton me
Khuda ko yaad karta hai,
Aur khuda bande se
mulaqat ki panch waqt ki
Dawat deta hai ❤️-
Dil dene ki baat dil hi karta hai
Barso baad jab uski awaz sunta hai,
Khwahishein to or bhi hain, magar
Dil sirf dil dene ki baat karta hai-
Insan ghurbat (gareebi) me rahna
Seekh jata hai, aur
Galat insan insan ke sath rah kar
nafrat karna!-