For all those who don't love exercise,
You do love your body, right?
And imagine how much more proud you'll be when you get to flex those toned abs, and your ability to do those perfect pull-ups and handstands and yeah, the human flag!!
Imagine people gaping at you as if
you're God who descended on earth.
-
"One day, what you are doing today which feels impossible, will be your warm up."
-
Prabhu Sri Krishna,
Mujhe pta hai ki aap mujhe pyaar karte ho ..
aur mujhe dukh iss baat ka hai
ki main baar baar aapko
bhulne ka apraadh karti hu..
aur vinamrata toh bhakti ka sabse zaroori Gunn hai aur vinamrata hi nahi hai mujhe mein..jitna aap dete ho ..use bhi thukra kar aur maang leti hu..
Hey dayanidhaan..
Meri bhul chook maaf karna,
aur kabhi mujhse na roothna,
Mujhe aur buddhimaan banaiye taaki apni galtiyan sudhaar saku.-
Aaj Prabhu se na mil paane ka dukh hai,
Kal milkar dur ho jaane ka hoga.
Woh bhi jaante hain aur main bhi ki unhe dekhne k baad Aur kuch dekhna shesh nahi reh jayega mere liye,
Isliye na chahte huye bhi khudko mujhse door rakhte hain mere Prabhu Sri Krishna.-
Jo Kanhaiyya k prem mein bandh jaata hai,
Woh Kanhaiyya se milta hai
toh bhi aansu bahaata hai,
Aur Kanhaiyya ki yaad mein
bhi dukh k aansu hi bahaata hai..
-
Iss jagat mein gyaaniyon se zyada toh aashiq bhare huye hai..
Har kisi ki prem kahani hai- kya bachcha kya bada.
Bhagwaan bhala yaha kya gyaan denge,
Gyaan dhundhne jaao toh pehle inhi bewakoofon se saamne hoga.-
Shaadi k baare mein kya bole,
Dus saal baad na saath raha jaata hai
Aur na ek dusre ko chchoda jaata hai.-
Pyaar mein dusre se kuch bhi chahiye nahi hota, sirf dena hota hai.
Uss pyaar ko koi thukra bhi de toh wo kum nahi hota,
Gusse se jalta nahi,
Pyaar eershya nahi hone deta,
badla nahi lene deta,
Woh jaha bhi ho bas khush ho
aisi dua maangta hai,
Phoolon ki khushbu ki tarah failta jaata hai,
koi thukraye ya apna le
usey koi farq nahi padta.-
Pyaar ka toh naam hi hai intezaar,
Aashiqui ka dusra naam hai vaasna,
Aur samarpan ka dusra naam hai tyaag.
Iss sansar mein jo aajkal chal raha hai woh hai maya ka khel.
Aur jise log pyaar SAMAJHTE hai woh hai bas ek nautanki..-
Woh pyaar hi kya jo ek galatfehmi se takrakar tootkar bikhar jaye?
Paristhitiya chahein kitni bhi pratikool kyu na ho, jise tumpar vishwaas hai Keval wahi tumse pyaar karta hai..
Aur jispar tumhe har paristhiti mein vishwaas rehta hai,
tumhe usi se pyaar hai.-