kahani kuch nhi kehti baatain sab btati hain
jo baaton se na ho woh ankhain sab btati hain
woh jo khuwab thai chand rhai khuwabon tak mehdood
kahu kisse haal e dil yaadain bht satati hain
ki hai mehnat kisne kitni tumain maloom ho jaye ga
dekho gay jo hathon ko lakeerain sab dikhati hain
kon jagha hai raaton ko kiska urd gya hai chain
woh surkhi num ankhon ki kahani sab btati hain
kisko hai muhabbat kiski kiska lut chaka hai dil
dardkanon ko sunno gay toh dardkanain sab btati hain
hun main ab bhi wohi "tahleel" ya koi aur hun ab main
dekho silwatain meri khani sab batati hain-
maine dekha hai woh sab kuch jo tune nhi dekha
chash-e-nam nain kya kahun kya kya nhi dekha
pathar ho gyi ankhain meri teri aur dekhte huwe
fir b teri ankhon ke siwa tera chehra tak nhi dekha
zahir hai ke samja nhi kabi mere kare kahe ko
tumne toh ye chehra dekha kabi dil nhi dekha
jao ab tum duniya dekho karlo puri har khwahish ko
thak ke khudse khud kaho gay koi ussa nhi dekha
guzarta tha jo gali gali se jaane talash main kiski
muddat hui kisi gali main uska naksh nhi dekha
jaane tune kya tha dekha mere naksh-e-dil main
jabse usse nazar mili woh murd kar nhi dekha-
muje yaad hain sabi masratain jo thi teri yaa nhi
woh baatain sab jo kari toh thi tere samne ye pta nhi
hun main ghumshuda ya hun ider jo bhi hai tere samne
tera haske yun mujko dekhna kya tha woh kuch pta nhi
jo chal rhi hai ye zindagi hai ye zindagi ya kuch aur hai
woh kahaniyaan jo main ji gya kya sach tha woh ya nhi
woh toh mar chuka woh na hai ider tuje kiski talash hai
woh jo shaks tha woh kon tha khaan gya kuch pta nhi
hai ye kashmakash ya jhust-a-joo baat dono he aik hain
kya hai aur kyu hai ye bewajah toh kuch b rha nhi
woh raat ki needain sabi jo chali toh thi par khaan gyi
yun toh mujko hai sab pta iss baat ka kuch pta nhi
muje baat karni hai tujse ab kahaan hun mujko bhulao toh
"tahleel" jo aik khayaal tha woh hai b ab yaa rha nhi
-
tuje duniya se chura lun main ji chahta hai
kahi ankhon main basa lun ye ji chahta hai
bithai ke samne apne tuje kuch na kahun
sab ankhon se bata dun mera ji chahta hai
haseen aur b hain dekho zamane bar main
tum kyu alag ho dikha dun ye ji chahta hai
dekha hai khuwabon main tuje sath apne
sab haqeeqat bana dun haan ji chahta hai
shayad deewana lagun main koi pagal sa
tuje bhi deewana bana dun ye ji chahta hai
chalao sath apne tumain sabhi manzaron se
dikhao khak hai agay tumhare sab ji chahta hai
uthao hath tumhare apni hathailiyon main
dikhao lakeeron main naam apna ji chahta hai
rahun "tahleel" main ya aisa karun yaar
tumhara naam rakh lun apna ji chahta hai-
No matter how strong your feelings are sometimes it's better not to tell anyone anything people will never understand what you are going through...
-
bas ek shaam thi aur fir wohi shaam aagyi
aay zindagi tu kabi b kya mere kaam aagyi
wada kiya tune mujhe chalane ka akele
lo has lo fir judayi ki gardhi tamaam aagyi
waqt ke khali saffon pe ashkon se rang bara hai
chalo ye musavari mere kisi toh kaam aagyi
main chalta rha kadam kadam umeed-e-manzil pe
aur kuch dair main he zindagi ki shaam aagyi
bala ye waqt tha aur waqt b kiska hua hai
hisab lazim tha ek parchi mere b naam aagyi
jo tu khamosh tha behtr hai khamosh reh abi
"tahleel" teri baat kab tere kisi kaam aagyi
-
Relationships are not just built with love but also with the constant investment of time and efforts..
-
zindagi jese koi lambi saza hai muje
lagi muhabbat ki koi baduwa hai muje
meetha hai jo b mila tadap aur ranj
veerangi tanhayi b ab maza hai muje
milti hai khushiyan sabi qismaton se he
koi aur khuda hai muhabbat ka lagta hai muje
waqt b dost bann jaata hai thehar jaye jo
baat ye sach hai ya bas lagta hai muje
fiza b zehr hai "tahleel" tere sehr ki
chal kahi chord sab abi hosla hai muje
-
itna asaan hai kya
nigahon main pura zamana basana
dil ki jagah pe pathar lagana
akele he puri duniya se lard jaana
aap he apne ansoon chupana
itna asaan hai kya
mushkilon ko saari hasi main udhana
raaz e dil sab kisi se na batana
haal e dil duniya se chupana
saza zindagi ki chupke bitana
itna asaan hai kya
baaton main apni hasratain chupana
nazrain kisi se bhi na milana
safoon pe khoon e jigr ko chapana
palkon talle muhabbat ko dabana
itna asaan hai kya
asaan hai toh aise ji ke dikhana
aik he sater mujko likh ke dikhana
dard main mujko haske dikhana
"tahleel jese ji marke dikhana-
ehsaas sabi main jo thai ab kho chuka hun
bachpan ke woh sache khuwab kho chuka hun
pakad ke chale thai jo hath kisi zamane main
hain sab yahin par woh hath kho chuka hun
woh hawa woh patte woh patjard ka mosam
dafan huwe woh chehre sab naam kho chuka hun
woh sabah, jeel aur woh rangeen shaamain
aati hain yaad kuch kuch baki kho chuka hun
abi bhi "Tahleel" hun main ya aisa hai shayad
ji toh rha hun woh dil-kash shaksh kho chuka hun
-