Kabhi yeh samaaj marta hai....
Toh kabhi iss samaaj ka rivaaj marta hai....-
Tum zara si sanwali ho....
Jaise dhalti shaam si ho....
Tum zara si sanwali ho....
Jaise mehandi laal si ho....
Tum zara si sanwali ho....
Tab bhi kamal ki ho....-
Gazal bhi fiki padti hai....
Jab aankhen unki baatein kerti hai....
Chaand bhi sharmata hai....
Jab chehra unka khil-khilata hai....
Hawa bhi gazab lehraati hai....
Jab baal khol woh jaati hai....
Rooh meri muskaati hai....
Jab chatt pe woh dikh jaati hai...-
Tere kadam ke nishan ke isharo pe chalte hain....
Teri muskurahat ko tijori mein rakhte hain....
Tere pyaar ki jaise ibadat hum kerte hain....
Tere kadam ke nishan ke isharo pe chalte hain....-
Mera kirdaar hi bada nirala hai....
Mera dushman hi mera chahne wala hai....-
January si mai....
December se tum....
Mai tumhare pass....
Tum mujhse duur....-
Ohh jana....
Ruth na jana....
Tumse milna bss hai bahana....
Ab tujhe apna hai banana....-
Tham si gayi hai zindagi tere bina....
Tu aye toh phir ek naya safar shuru ho....-