Nami meri aankho ki mera dard bayan karti hai
Khushiyo ko paane ka ye farmaan bayan karti hai
Yu to behaal sa hai ye dil apna
Par har haal me mera haal bayan karti hai-
"Ab jabaa pe tumse milne ki fariyaad nahi,
Panno per tumhara naam hai, magar tumhari yaad nahi".-
"Hawaon ke saath behes jaroori thi...
Tumhari zulfon par sirf humara haq hai".-
"Zindagi jeena,
Or
Zindagi guzaarna"
Nihaayati alag hai,
Fark jaan-na ho, toh mohabbat karlo.-
"Meri bheegi palken, tere pyaar ka suboot hai,
Meri soojhi ankhen, mere ishq ka dastoor hai,
Tu toh aaj bhi,mere dil ki mehfil main utna hi mashoor hai,
Mana main gam zada hu, zindagi se apni, akhir isme tera kya kasoor hai".
-
"Chand tu kyu gumaan main hai,
Tujhe hasi mere dil_o_makaan main hai.
Jiske husn se, hijr khatam hota hai,
Vo nazar mere kamaan main hai".
"Ek masoom parinda ek roz kho gya mujhse,
Na Jane ab kis saher kis jahaan main hai.
Log ghazal per, aksar sawaal poochte hain humse.
Main kya kahu ki, jawab uske naam main hai".
-
"Kuch shayar hum bhi the, pagal unhone bana diya,
Kuch mashroof vo bhi the, unhe mashgool humne bana diya".-
"Kabhi kuch waasta humara bhi tha, un tulaqdaaron se,
Kabhi humne bhi khareedi thi, dil-e-wafa un zamindaaron se,
Aie waqt keh de unse, ki hum akele nahi,
Kabhi humne bhi banaya tha, apna makaan, aasuon ki deewaaron se".
-
"Sookhe sookhe se, ye dil ke patte, akhir ye darakht kiska hai,
Yu roke baithe ho, apne hatho se zamane ko, akhir, tera ye waqt kiska hai,
Chup chup ke rote ho, or haste ho apni tanhayi pe,
Akhir aaj hume bhi bata, tu faqat kiska hai".-
Armaan jala kar roti sekte hai.
Hum gareeb hai khuli ankhon se sapne dekhte hai.
Degree se toh bagawat aati hai,
Yaha 19 ke log sarhad ki sardi dekhte hai.
Laga kar aag, aag se bachaane nikalte hai,
Ye kaise log hai jo tabaahi main azaadi dekhte hai.
Ye shauk se parindon ke par kaat dete hain,
Ye sach ko kaid main kyu dekhte hai.
Kitaabein bhi khud likhi, or hume hi shaitan batate hai,
Ye itne padhe log, imtihaan main meri jaat kyu poochte hai.
Humne toh kaat kar dediya tha ghar apna,
Firbhi meri rooh ko gali kyu dete hain.-