Rishabh Sharma   (RISHABH SHARMA(saksh))
168 Followers · 43 Following

Follow @ #rishabhsharma
Joined 19 December 2017


Follow @ #rishabhsharma
Joined 19 December 2017
16 NOV 2020 AT 17:46

"Chand tu kyu gumaan main hai,
Tujhe hasi mere dil_o_makaan main hai.
Jiske husn se, hijr khatam hota hai,
Vo nazar mere kamaan main hai".

"Ek masoom parinda ek roz kho gya mujhse,
Na Jane ab kis saher kis jahaan main hai.
Log ghazal per, aksar sawaal poochte hain humse.
Main kya kahu ki, jawab uske naam main hai".

-


10 NOV 2020 AT 23:34

"Mujhse ab vo saksh baat nahi karta,
Shaher se guzar jaata hai mulaqaat nahi karta".

"Uske naam ka purana darakht, aaj bhi khada hai maidaan main.
Use sookhta dekh, kya uska dil nahi utarta".

"Kaise hain vo, jo aasmaa main raha karte hai.
Kya unka, zamin se milna ka man nahi karta".

"Mere haq main rakha tha, use waqt ki daastaan ne.
Kya vo azal ke kisson ki parwaah nahi karta".

"Kuch sawal poochte hain, uske shaher ke baadalon se hum.
Kya vo ab bheegi julfon se barsaat nahi karta".

"Vo jo rooth kar chipa baitha hai, kisi doosre mulk main.
Kyu vo mehtaab mera, mujhse gilaa nahi karta".

-


20 OCT 2020 AT 18:03

"Ek mulaqaat main, gum liye baithe ho,
Suno ishq karlo, abhi thoda kam liye baithe ho".

"Guroor toot jata hai, mohobatt main aie dost,
Kitne nadaan ho, tum 'tu' ke zamaane main 'hum' liye baithe ho".

-


20 OCT 2020 AT 1:29

"Labon se hokar guzar raha hai,
Vo naam kitna aham hai, uski saason se mehak raha hai".

-


20 OCT 2020 AT 1:26

"Ahista qadam rakhiye,
Kahi kaanch ke tukde se ishq na ho jaye".

-


20 SEP 2020 AT 13:35

"Raat ko baandh kar joode main apne, tum din ko banaaye rakhna,
Silsila jo chala hai guftoogo ka use banaaye rakhna.

Yu toh har ek saksh kaaton ki tarah chubha hume,
Tum gulaab ho, khud ko gulaab banaaye rakhna".

-


18 SEP 2020 AT 0:03

Armaan jala kar roti sekte hai.
Hum gareeb hai khuli ankhon se sapne dekhte hai.

Degree se toh bagawat aati hai,
Yaha 19 ke log sarhad ki sardi dekhte hai.

Laga kar aag, aag se bachaane nikalte hai,
Ye kaise log hai jo tabaahi main azaadi dekhte hai.

Ye shauk se parindon ke par kaat dete hain,
Ye sach ko kaid main kyu dekhte hai.

Kitaabein bhi khud likhi, or hume hi shaitan batate hai,
Ye itne padhe log, imtihaan main meri jaat kyu poochte hai.

Humne toh kaat kar dediya tha ghar apna,
Firbhi meri rooh ko gali kyu dete hain.

-


14 SEP 2020 AT 17:36

Mere seher se tumahri khushboo aati hai,
Tumhare siwa baaki saare itrr jhoote hai.

Kabhi bana toh aasmaan banunga,
Zamin ke saare log jhoote hai.

Syahi se likha ye akhiri khat tumahra,
Ye alfaaz ye khagaz sab jhoote hai.

Mere saath ka musafir kahi kho ya mujhse,
Uske kiye saare waade jhoothe hai.

Tumahre aqs se toh raat hoti hai jahan main,
Tumahre ghar ke aine tak jhoote hai.

Tumhare baad jo gulab khile bagho main.
Unki khushboo, unke rang saare jhoothe hai.

-


14 SEP 2020 AT 17:31

"Yu toh mahal bhi kam hai, zindagi bitaane ko,
Ek teri zulf kaafi hai sir chupaane ko".

"Namumkin si arzoo rahi ek akhiri mulaqaat ki,
Deedar_e_mehboob raha sahara parwaane ko".

-


7 MAY 2020 AT 20:21

"Kuch is tarah bhi ishq ko mere haq main bithaya jaaye.
Main subah sota rahu, or mujhe zulfon se uthaayaa jaaye"

-


Fetching Rishabh Sharma Quotes