QUOTES ON #RAFAT

#rafat quotes

Trending | Latest
19 FEB 2018 AT 13:25

Zamane ki nabz ,
to pakad mein aa gayi
Magar naasaaz yeh dil ,
Aur bhi beemar ho gaya


Rafat Akhtar Rafat



-


4 MAY 2018 AT 16:56

Yeh dasht e junoon
Yeh sahra e tanhai
Khaak se huye phirte hai
Magar khaak hone se pehle

.....Rafat Akhtar





-


11 AUG 2018 AT 19:36

Woh khusbu anjaani thi
Ya phir thodi
Jaani pahchani thi
Hum likh rahe theey ghazal
Ya phir koi
bhuli bisri kahani thi
Unke aane ka qissa
Ya phir shayad
Bichri yaad dahani thi
Khatka hua hawa se
Ya phir woh
Aahat munh zubani thi
Hum ne barta taghafful
Ya phir unki
aadat fitratan hairani thi
Qadam sust uthe mere
Ya phir unke
raftaar mein hi rawani thi

......Rafat Akhtar Rafat




-


25 DEC 2018 AT 21:22

Haan AURAT hona bhi kamal hai
Yeh aurat ko AADMI hone nahin deta

Full poem in caption
Please read

-


23 AUG 2018 AT 21:53

Woh sama bhi kiya khub sama hoga
Noor hi baarish aur noor hi qatra hoga

Poem in caption
Please read

Rafat Akhtar Rafat

-


24 APR 2018 AT 11:23

《 Mez mein dhari》
#ae kitab meri》

Thak haar udaas tanha jab ghar loot'on to
To tera muskura kar puchna
"Kaha theey dost "
Tere fikr me be fikr hona sikh gayi
Mein haarte haarte jeetna sikh gayi

(Full poem in caption)
Please read

....Rafat Akhtar











-


1 AUG 2018 AT 17:30

JHOOT ka woh dilkash sarapa
Junhi hua be naqab
Saansien phir khaak huyi
Dhadkane bhi azab huyi
Qaid e tanhai hua mamool
Zameer jaise qatl e gaah huyi

-


27 APR 2018 AT 19:27

Us ne kaha
Mohabbat zaroori to nahin
Mein ne kaha
Dhadkan aur saansien mohabbat hi to hai

Us ne kaha
Mohabbat zindagi to nahin
Mein ne kaha
Jism aur rooh mohabbat hi to hai

Us ne kaha
Mohabbat ibadat to nahin
Mein ne kaha
Sajda aur jabeen mohabbat hi to hai

Us ne kaha
Mohabbat mahoor to nahin
Mein ne kaha
Rabb aur kayinaat mohabbat hi to hai

.......Rafat Akhtar


-


17 FEB 2019 AT 17:43

Ah ! Jannat tere hisse me jahannum aa gayi
Kuch khud garzo ne rachaya khel aise ki
Ah ! Sacchai tere hisse me khamoshi aa gayi .



-


8 APR 2019 AT 21:25

Fikr e libaas me doob gaye hain
Pahna jo qabaa , usme keechar lage hain
Dhabbo se att gaya daman
Ashq e tauba thoda kam bahe hain
Be daag jism ki arzoo me theey lipte
Par dekh cheetien in me bhi pade hain
Dhoka , faraib kaise ziddi huye hain
Yun chimte mujhko kyun jakre khade hain



-