یادوں کی چنگاریوں کو حدتیں ہیں
یہ سرد ہوائیں، یہ خنک زدہ شام
Yaado'n ki chingario'n ko hiddat'ien hain
yeh sard hawaien, yeh khanak zada shaam-
My writings are absolutely original😊😊... read more
Mayoosi daba li har, muskaan ke peeche
Hum ne afsos ko afsoorda kabhi kiya hi nahin
مایوسی دبا لی ہر، مسکان کے پیچھے
ہم نے افسوس کو افسردہ کبھی کیا ہی نہیں-
جتنی خاموشی ان لبوں نے برتی ہیں
دل کو جبر ہے وہ ساری باتیں
Jitni khamoshi in labo'n ne barti hain
Dil ko jabar hai woh saari baatien
-
Peechli baato'n ka aqs dhundla deta hai baat agli ke aqs ko
ruk jaata hai zahen jaa ke bas usi baasi sahen e dil tak
پچھلی باتوں کا عکس دھندلا دیتا ہے بات اگلی کے عکس کو
رُک جاتا ہے ذہن جا کے بس اُسی باسی صحنِ دل تک
-
Aaine se kaha thaa ki aqs sanmbhale rakhna
Aaina gaya bhool aur tasveer gayi badal
آئینے سے کہا تھا کی عکس سنبھالے رکھنا
آئینہ گیا بھول اور تصویر گئی بدل-
Waqt ke haatho'n me qaid zindagi
koi ret ki si shaiy hai
jo musalsal phisal rahi hoti hai
hum a waqt phisal rahi hoti hai
dheere dheere,
ahista ahista magar
lagatar aur
baar baar
-
درد کی کیفیت کوئی بھلائے کیسے
درد ہی تو ہوا کرے ہے سامانِ زندگی
Dard ki kafiyat koi bhulaye kaise
Dard hi to hua kare hai saman e zindagi
-
Shafqat ki woh nazam purani, mein roz dohrati hoon
tum gaye duur, bahut duur to kiya hua baba (papa)
tumhari mojodgi mein roz dohrati hoon
Full poem in caption
please read 😊
-
یادیں گھیر رہی ہیں مجھ کو
بادل رنگ کر رہی ہیں مجھ کو
جانے کب بوند یا قطرہ ہو جائے
یادیں ساون کر رہی ہیں مجھ کو
Yaadien gher rahi hain mujh ko
Badal rang kar rahi hain mujh ko
Jaane kab boond ya qatra ho jaye
Yaadien sawan kar rahi hain mujh ko
-
ہر لمحہ ہر آن تیری رحمتوں کے سایہ تلے ہوں
یہی آسرا، یہی یقین ہماری سانسوں کو کافی ہو
راستہ بند ملے جب اور چاروں تو
تیرا کُن فیَکُون ہونا ہی ہمیں کافی ہو
Har lamha har aan teri rahmato ke saaye tale hoon
Yahi aasra, yahi yaqeen hamari saanso'n ko kaafi ho
Raasta band mile jab oor charo to
Tera KUN FAYAKUN hona hi humien kaafi ho-