MAJDOOR
Majdoor hun, shram Kar bahot thak gaya hun
Chalo zameen ko hi shaiya bana kuch pahar so leta hun
Thiturti sardi bahot hai aaj, tan ko chaddar se thoda dhak leta hun
Chalo neele aasaman se hi sar se paon tak odh leta hun
Bhuk se man vyakul ho raha hai, aanch par kuch pehle paka leta hun
Par badal garaj rahe hain, varsha shuru ho gai hai, Chalo bhuk ki jagah aaj bas pyaas hi bhuja leta hun
-