Dil me uthi aag ko dafanaye kaha
Ye dil to such such bol de
Par Itni himmat is zuban par kaha..-
Hm apni mohabbat nibha rahe the,
Lekin naseeb apna hi khel dikha rha tha..-
Naseeb ka khail bohot bura hota hai,
Kisi ke pass sab kuch hota hai toh,
Kisi ke pass kuch bhi nhi hota,
Kisi ke pass har taraf khushiyan hoti hai toh,
Kisi ke pass har taraf ghum ka mahool bhara howa hota hai,
Koyi bohot khush hota hai apne naseeb se toh,
Koyi bohot dhuki hota hai apne naseeb se,
Koyi humko khush naseeb samjhta hai toh,
Koyi humko bad naseeb samjhta hai,
Yeh naseeb ka khail hi toh hota hai jo dil se chahne waalon ko kabhi wafa nahi milti,
Yeh naseeb ka khail hi toh hota hai jo sache pyaar karne walon ko unki manzil kabhi nahi milti,
Yeh naseeb ka khail hi toh hota hai jo sache pyaar karne walon ko kabhi kabhi wafa ke badle mein aansu milte hai,
Yeh naseeb ka khail hi toh hai ke is duniya mein koyi apna hokar bhi apna nahi hota.
-
Choda To Apne Hume Tha,
Phir Bhi Tumhare Jhute Pyar K Khatir,
Khud K Naseeb Ko Galiyaan Deta Hu...
Black_lover
-
Naseeb to apna khel dikha hi Chuka hai
To hum bhi kyu peeche rahein
Aao mai apna kirdar nibhaati hu
Tum bhi apna nibhaao
-
Yun lafzon se zakhm dena befayda hai tumhara
Kahi aur dil lagalo toh bhi fayda hai hamara
Tumhari khushi k aage dil ko kya aazmaaye
Naadani me tum itna bhi nhi samajh paaye
Mohabbat me kaisa haarna harana
Isme toh hota hai bas khud ko lutana
Saath milna na milna naseeb ka khel hai
Yaha zaruri sirf dilon ka mel hai-