Hai Sunnat e Mustafa, Raza e Khuda, Ya Ali ع Madad ❤️
Khaibar mei'n khud Nabi ne kaha, Ya Ali ع Madad ❤️
Naam e Ali ع, Waseela e istejabat hai
Mushkil mei'n behtareen dua, Ya Ali ع Madad ❤️
Inhei'n se to mushkil mei'n, madad ma'ngte hai'n ham
Sabr o Salaat o Farsh e Aza, Ya Ali ع Madad ❤️
Padne se pehle hi mushkilei'n aasan ho gayi'n
Maine jo ek baar kaha, Ya Ali ع Madad ❤️
Ba raah e rast mili, madad Parwardigar ki
Hamne to jab jab bhi kaha, Ya Ali ع Madad ❤️
Farte Masarrat se khud 13 Rajab ko
Deewar e Haram ne bhi kaha, Ya Ali ع Madad ❤️
Ishq e Ali ع, khanjar se katt nhi'n sakta
Meesam ne daar pe bhi kaha, Ya Ali ع Madad ❤️
Naam e Ali ع Ramooz e Asraar e Jaha'n hai
Rab jaane! Kab, Kisne, Kaha, Ya Ali ع Madad ❤️-
....“Meri Mohabbat Nikaah ke Baad”....
Main chahta hun ke tumhare sath khana-e-kaaba ka tawaf karun, aur chahta hun ke tum mere ehraam ka kona pakad kar mere qadmon pe apne qadam rakh kar chalo. Jahan kahin bhid ho jaye to tum mere baajuon me apne hath daal lo. Khana-e-kaaba me tum mere sath baith kar mere kandhon pe sir rakh kar meri itraaf-e-mohabbat suno. Aur chahta hun ke Khana-e-kaaba ke samne baith kar tumhari khubshurat aawaz me quraan paak ki tilawat sunu'n. Aur phir us paak aayaat ke tarjume se tumhari rooh mo'attar karun. Aur main tumhara hath tham kar Rabbul Aalameen se kahun ke main tere ghar jis ka hath tham kar aaya hun kal baroz-e-qayamat bhi main tere ru-ba'roo isi ka hath tham kar aana chahta hun.-
Hoga adl o insaaf ka charcha zameen par
Jab aaye ga wo waris e kaba zameen par
Saqfe kaba pe, Mohammad ص ki shakl mei'n
Jab utrega wo barwa'h quraa'n zameen par
Tameer az sare nau hogi insaniyat ki shakl
Phir banega mazaar e Fatima Zehra ص zameen par
Phir lehad bhi unko na de payegi panaah
Jab chamkegi shamsheer e Yad Ullah zameen par
Paye'n ge phir Muaviya zaade ل kaha'n amaa'n
Chale ga jab aayen Ali ع ka zameen par
Baad e zahoor aapki nusrat ke waaste
Phir aaye ge Khizr o Esa zameen par
Ham hai'n usi ke muntazir, jo hai
Sawa lakh Ambiya ki tamanna zameen par
Jaha'n waaris e salooni ki jhalak dekhe ga
Phir aabad hoga mimbar e Kufa zameen par-
Kuch na mila, zulm dhaane ke baad bhi
Haq jeet gaya, sab lutane ke baad bhi
Ehle shar ل ka isse bhi dil nhi'n bhara
Bagh e Fidak ko loot ke khaane ke baad bhi
Jau ki sukhi rotiyo'n par iktefa (اکتفا), Ya Ali ع
Hukumat e arz o sama paane ke baad bhi
Wiladat e Haider ع ka Allah re asar
Kabey mei'n hai lakeer, zamane ke baad bhi
Taskeen e qalb o jaa'n, hai gham e Husain ع
Ham khush hai'n, ashk bahane ke baad bhi
Labo'n pe ab bhi bakhshish e ummat ki dua hai
Ali Asghar ع ko tahe khak chupane ke baad bhi
Bais e fakhr, bas bandagi e Parwardigar hai
Insaan khali hath raha, duniya kamane ke baad bhi-