Chup rahu to baatein hi baatein
Jo batlau to alfaaz koi naii
Dekhu to khwaab hi khwaab
Jo jhaanku to khayaal koi naii
Bikhru to sipiya hi sipiya
Jo sametu to moti koi naii
Tham jau to aahatein hi aahatein
Jo mandrau to sarsarahat koi naii
Chhupau to nazrein hi nazrein
Jo milau to chehra koi naii
Thehru to makaam hi makaam
Jo chalu to raah koi naii-
Logo ka aana jaana to zindagi ka ab charan lagta hai,
Kal ka hissa aaj kissa ban jaaye tab grahan lagta hai-
Jo milo tum ek muddat baad,
To ye din guzar na jaaye kahii
Jo phero tum chehra halke muskaaye,
To ye kakulein bikhar na jaaye kahii
Jo milao tum nainose nain,
To ye nazar kaid ho na jaaye kahii
Jo sulgao tum chingaari labo se,
To ye moma pighal na jaaye kahii
Jo roko tum mere behte harf,
To ye raaz simat na jaaye kahii
Jo khulo tum ek arse baad,
To ye parchaai choot na jaaye kahii-
Jo rakho tum paanv noorani atariya pe
To ye sitaare falak se utar na jaaye kahii
Jo girao tum jhumka bhare bazaar me
To ye sheher uthaane umad na jaaye kahii
Jo pehno tum libaas halke peele rang ka
To ye tukde dhoop ke rooth na jaaye kahii
Jo gholo tum khudko aasmaani lehro me
To ye qafila titliyon ka ghir na jaaye kahii
Jo sambhaalo tum gaal pe girti latton ko
To ye pehchaan ishq ki ubhar na jaaye kahii
Jo dhundho tum apna hi aks jheel me
To ye guroor aaine ka toot na jaaye kahii
Jo thehro tum mujhpe dhadkane baandh ke
To ye khwaab mere taabir ho na jaaye kahii-
Peene walo ko paimaane kam
Jeene walo ko zamaane kam
Lene walo ko nazraane kam
Jalne walo ko parvaane kam
Sunne walo ko fasaane kam
Gaane walo ko taraane kam
Lagaane walo ko nishaane kam
Lootne walo ko khajaane kam
Doobne walo ko maikhaane kam
Chhupne walo ko tahkhaane kam
Jaane walo ko bahaane kam
Rukne walo ko thikaane kam-
Aasmaan me udd rahi thi wo patang pooranii,
Hawaon se jhunjhti, lag firr bhi rahi thi suhaanii
Rangmanch pe naach rahi thi wo katputli sayanii,
Andar se bikharti, lag firr bhi rahi thi ruhaanii
Kuwe me kudd rahi thi wo balti begaanii,
Eeton se takraati, lag firr bhi rahi thi gumaanii
Machli si badh rahi thi wo sui anjaanii,
Kapdo ko bhedti, lag firr bhi rahi thi rumanii
Keh lo rassi manja ya dhaaga, sab rahe bezubaanii,
Tareef auron ki hoti rahi, asal me dorr ki thi kahaanii-
Firr chehre ki muskaan jhukii jhukii, Firr lamho ki raftaar rukii rukii
Firr khwabo me khwahishe badii badii, Firr baaton me baatein dabii dabii
Firr hamdardiyo me kuch kamii kamii, Firr aankho me wo thamii thamii
Firr khuluso ki naav jhulii jhulii, Firr ummeed ki kiran khulii khulii
Firr mastak ki silvatein sajii sajii, Firr dilaase ki dastak bajii bajii
Firr dhadkan dil se roothii roothii, Firr nasamjhi hoshiyari se tootii tootii
Firr bebaak aashayein darii darii, Firr tasalliyan mann me bharii bharii
Firr kaato si wo chubhii chubhii, Firr gulaab si wo lubhii lubhii
Firr apne mei wo aisi uljhii, Firr ishaaron se bhi na kabhi suljhii
-
Umadti nakhraali tasveero ka ajab hi hai itraane ka dhang,
Noor, sadgi, adaon se ghira hai chape kirdaaro ka rang-
Log kahte hai ki humne aaj tak kisi insan ka bura nai kiya, fir bhi Bhagwan humesha humare sath bura karte hai.
Kabhi ye bhi Soch Lena dosto ki bhagwan ne sirf insan hi nai aur bhi chizzen banayi hai,
ho sakta hai aapne kabhi jaane anjaane uski nemat ko thukraya ho.-
Yun hi nahi khudko andhero mei dhakel dijiye,
Sannate gehre lage toh geet gunguna lijiye
Yun hi nahi khudko gardish mei thamaa dijiye
Dhadkan tej lage toh saans aahista kijiye
Yun hi nahi khudko zamaane mei ghol dijiye,
Chhavi kacchi lage toh rang pakke kijiye
Yun hi nahi khudko galiyon mei benaami dijiye,
Manzil lambi lage toh faasla kam kijiye
Yun hi nahi khudko bojh se baandh dijiye
Khushi choti lage toh muskaan badi kijiye
Yun hi nahi khudko bahaav mei jhonk dijiye,
Kinara door lage toh chappoo najdik kijiye
Yun hi nahi khudko armaano mei dafna dijiye,
Palkein bhaari lage toh mann halka kijiye-