Galatfehmi bazaar mei kuch yun biki haii,
Har paiyye ko lagta hai, rail usipe tiki haii-
Kaat lo safar milon ka, pohoch na paaoge waha
Nikle the jahaa se kabhi, khudko paaoge waha
Kar lo aankhe band, dhundh na paaoge waha
Bikhre the jahaa pe kabhi, aks paaoge waha
Likh lo nazmein saari, chitr na paaoge waha
Jazbaat the jahaa pe kabhi, kahaani paaoge waha
Ubhar lo haadso se, sukoon na paaoge waha
Sapne the jahaa pe kabhi, bojh paaoge waha
Nihaar lo neela aasman, paigaam na paaoge waha
Behke the jahaa pe kabhi, parchaai paaoge waha
Chhaan lo falak-numaa, chaand na paaoge waha
Sitaare the jahaa pe kabhi, patthar paaoge waha-
Ek harkat hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke nazro me gir gaya hai woh
Ek raaz hai jo bhar gaya hai woh
Khud hi ke saaye se darr gaya hai woh
Ek tazurba hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke safar me bhatak gaya hai woh
Ek izhaar hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke khamoshi me ghut gaya hai woh
Ek sawaal hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke jawaab me bhun gaya hai woh
Ek hisaab hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke aankdo me chuk gaya hai woh
Ek qahr hai jo kar gaya hai woh
Khud hi ke dil se utar gaya hai woh-
Kaaton si zindagi me, phoolon ke khwaab na ho
Ulfatein manzoor hai mujhe, bas kaali raat na ho
Sawaalon ki mehfil me, jhuthe jawaab na ho
Sannatein manzoor hai mujhe, bas gehri baat na ho
Aaine ki chamak me, chehre hazaar na ho
Aahatein manzoor hai mujhe, bas khudse mulaqat na ho
Apno ke sheher me, badhta faasla na ho
Baadal manzoor hai mujhe, bas koi tufaan na ho
Ummiido ke janjaal me, kacche taar na ho
Nazaare manzoor hai mujhe, bas nazre khaank na ho-
Tu manaayegi toh bata mei ghussa naak pe rakhu
Tu jataayegi toh bata mei dhadkane rok ke rakhu
Tu samaayegi toh bata mei baahe faila ke rakhu
Tu chupaayegi toh bata mei saanse seene me rakhu
Tu pighlaayegi toh bata mei mom angaaron pe rakhu
Tu jalaayegi toh bata mei shamaa salaamat rakhu
Tu jhulaayegi toh bata mei udaan aasmaan ki rakhu
Tu behlaayegi toh bata mei khilauna dil pe rakhu
Tu rulaayegi toh bata mei paani aankho me rakhu
Tu sataayegi toh bata mei nakhre ishaaron me rakhu
Tu milaayegi toh bata mei nazre jamaake rakhu
Tu churaayegi toh bata mei jevar zamaane ke rakhu
Tu rijhaayegi toh bata mei muskaan gaalon pe rakhu
Tu sajaayegi toh bata mei darpan sambhaal ke rakhu
Tu jhulaayegi toh bata mei jhonka baandh ke rakhu
Tu suljhaegi toh bata mei baate hazaar rakhu-
Muskurahato se bharii shaam hai wo
Ishq ka pehla aur aakhri naam hai wo
Chamakta dehekta andaaz hai wo
Mohabbat ko sulgaata alfaaz hai wo
Palkon me jhalakta kaajal hai wo
Aasmaan me behta baadal hai wo
Andhero ko jhukaata savera hai wo
Sulajhta ulajhta raaz gehra hai wo
Dabe hothon ki mandd hassi hai wo
Lehro me toofaan liye bassi hai wo
Rukh modti hawaon ka ishaara hai wo
Falak se upar uthta jahaan nyaara hai wo
Meri manzil meri raah meri jaan hai wo
Mera kal mera pal mera maan hai wo-
Dhoop aur chaav toh muqaddar haii
Kyu na ek dusre mei jalke dekhte haii
Phool aur kaatein bhi muqaddar haii
Kyun na safar saath chalke dekhte haii
Baarish aur toofaan toh muqaddar haii
Kyu na ek dusre ki kashti banke dekhte haii
Poonam aur amavas bhi muqaddar haii
Kyun ka dhundhli aankhein malke dekhte haii
Khilna aur bujhna toh muqaddar haii
Kyun na ek dusre mei dhalke dekhte haii
Khushi aur udaasi bhi muqaddar haii
Kyu na sapne kalke dekhte haii-
Kabhi taaron sa jhilmilaana ho
Kabhi diye sa dil ko jalaana ho
Kabhi khushi me jhoom jaana ho
Khud ko kaid kar deta hoon mei
Kabhi phoolon sa khilkhilaana ho
Kabhi uljhano me chehra bahkaana ho
Kabhi zeher baaton ka mitaana ho
Bahot der kar deta hoon mei
Kabhi chaand sa jagmagaana ho
Kabhi andhera andar se bhagaana ho
Kabhi hassi se zehen behlaana ho
Khud ko kaid kar deta hoon mei
Kabhi thand me kapkapaana ho
Kabhi khayaalon ko rijhaana ho
Kabhi kashmkash ko bujhaana ho
Bahot der kar deta hoon mei
Kabhi mann ko gudgudaana ho
Kabhi khamoshi se ubharnaa ho
Kabhi fikr-e-ishq batlaana ho
Bahot hi der kar deta hoon mei-
Kehte hai titliyaan sataati hai usse sair-e-baag me
Ye baat hai toh chalo bhanwre hum bhi banke dekhte haii
Kehte hai akad se khushiyaan jhoomti hai uske gaalon pe
Ye baat hai toh chalo laali ko choom ke dekhte haii
Kehte hai waqt tham jaata hai bheed me uske ishaaron se
Ye baat hai toh chalo fir se mulaaqat karke dekhte haii
Kehte hai kaan baaliyaa thumakti hai uske chalne pe
Ye baat hai toh chalo nazaare aankh bharke dekhte haii
Kehte hai khwaab taabiir hote hai uske choone se
Ye baat hai toh chalo karishme aashiqui ke dekhte haii-
Kehte hai sitaare damakte hai uski muskaan mei
Ye baat hai toh chalo mann ko timtimaake dekhte haii
Kehte hai boonde thirkati hai baarish ki uske aahat se
Ye baat hai toh chalo kaali badli me bhigke dekhte haii
Kehte hai falaq sajta sanwarta hai uski zulfon mei
Ye baat hai toh chalo tareef chaand ki karke dekhte haii
Kehte hai kadakti chingaari panapti hai uske labon pe
Ye baat hai toh chalo baaton me haar ke dekhte haii
Kehte hai saanse aahista chalti hai uske palatne se
Ye baat hai toh chalo dhadkane thaam ke dekhte haii-