❤PUCHTA HAI DIL❤
:•:Jo pursukoon magan tha
Kabhi jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
:•:Tedhe khadam the
Seedhi thi zindagi jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
:•:Rishte nibhana cheez kya
jaanta toh na tha
Magar rishte meethe the jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
:•:Kisi ki aas mein roya karte
zaroor the
Magar ghum ka saya bhi na tha jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
:•:Zid kuch na kuch paane ki zaroor thi
Magar kuch khoone ka dar na tha jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
:•:Aaj kuch bolne pe najane kya se
Kya hojata hai
Jab ek ek lafz bolne par
khush hua karte the
sabhi jahan,
Puchta hai dil Woh din kahan.
-