Hum bhi khaamosh ho gaye aur fir
Unko bhi aa gayi zubaani nayi
Jiski khaatir jagah bani dil me
Unki ab ho gayi makaani nayi
So hua yu k wo abhii guzri
Yaad saari huyi puraani ,nayi
Un darakhto.n pe gul nahi lagte
Jinpe aati na ho khizaani nayi
#ASHK afsosnaak kehte hai
Dilruba ab nahi banaani nayi— % &-
MOTIVATOR
POET
BIBLIOPHILE
A GOOD FRIEND FOR BROKEN HEARTS
STILL LEARNING
You can Fo... read more
Suniye kehte hai fir kahaani nayi
Jab hua karti thi jawaani nayi
Haashiye ishq ke nahi the koi
Dast o paa rehti thi rawaani nayi
Roz aagosh me mere the wo
Roz milti rahii nishaani nayi
Be-taqalluf rahe sabhii mausam
Har peher thi fizaa suhaani nayi
Par kisi roz ik qayaamat thi
Jangalo.n ko lagi fugaani nayi— % &-
Gham ki aadat kamaal hoti hai
Neend marti hai raat soti hai
Khaamoshi cheekhti hai zoro.n se
Maayusi apne hosh khoti hai
Kaaghzi saaz , be-awaaz sukhan
Aur siyaahi , qalam chubhoti hai
Daldali khwaab me saraapa mai
Meri koshish mujhe duboti hai
Badzubaani tujhe gumaan nahi
Khoon se tu bhi haath dhoti hai
Shaah raaho.n pe aashiyana nahi
Zindagi maa ki god hoti hai— % &-
Tumhare haath me ye hai
K tum inkaar bhar kar lo
Magar tumko mai batla doo.n
Ye jo tum kar rahe ho wo
Bahot logo.n ne pehle bhi
Yaqeenan kar ke dekha hai
Jisey parde me rakhne se
chhipaana ho nahi sakta
tumhari jo ijaazat ho to mai
batlaau ye tumko
jo bhi karne ki khwaahish hai tumhari
Ek dhokha hai
Darasal baat itni hai
K jab aankho.n se apni
Tum meri aankho.n me
Apne khwaab ki taabeer kehte ho
Kya tum bhi dekh paate ho
Jo sab logo ne dekha hai
Kahi pe aur na dhundo
Inhi aankho.n me rehte ho
To ye maaloom hota hai
Ye tumse bhi guzarti hai
Kambakht !
Muhabbat thaan leti hai
Ye fir to hoke rehti hai— % &-
Kabhi hai jaan ka sadqa
kabhi azaab e jaa.n hai ye
Kabhi muflis ki roti hai
shaayar ki azaa.n hai ye
Bahot imkaan hai isse
ye jo aadhi muqammal si
kisi dil ke gulistaa.n mei.n
dabe paao.n tehelti hai
Kabhi na khatm hone wale
ik gehre samandar me
uchhalti koodti ik jalpari si
jab theherti hai
to har ik dil me palti hai
Muhabbat thaan leti hai
ye fir to ho ke rehti hai— % &-
Muhabbat thaan leti hai
ye fir to hoke rehti hai
posheeda raaz ho kitne
khaamosh e saaz ho kitne
ye chhip kar to na rehti hai
Muhabbat thaan leti hai
ye fir to hoke rehti hai
Kabhi na-shaad rakhti hai
ye ik umr ki had tak
kabhi ik lamhe me
ik umr ki saugaat rakhti hai
Kabhi sehraao.n si ye berukhi
honto.n pe laati hai
kabhi besaakhta aankho.n
me ye barsaat rakhti hai
Jaha thehre waha bechain
din aur raat rakhti hai
magar kuchh khaas logo.n ko
ye apne saath rakhti hai
Kahi ye daastaa.n hogi
kahi fariyaad rehti hai
Muhabbat thaan leti hai
ye fir to ho ke rehti hai— % &-
Raat syaahi thi ik zamaane se
Chaand kab mere suu nahi aaya
Usko chhune me ye taqalluf hai
Mai abhii baa wuzu nahi aaya
Poora karne ke sab iraade the
Leke tu aarzuu nahi aaya
Khwab dekha hai ba-hijaab tumhe
Khwaab be - aabruu nahi aaya
Hai teri deed kaarobaar mera
Mai yaha faaltuu nahi aaya
Aaj fir se huye the mujhse sawal
#ASHK wo surkh-ruu nahi aaya ?-
Ye na puchhenge kyuu nahi aaya
Itna kaafi hai tuu nahi aaya
The pichhli raat maut ke taalib
Qaayde ka aduu nahi aaya
Yu to hum JAUN se mutaasir hai
Par abhi bhi lahuu nahi aaya
Hazaar khwaab dekh daale the
Koi bhi huu ba huu nahi aayaa
Raah bhatke huye musaafir the
Rahbaro.n ko sukuu nahi aaya
Ek saada sa alwidaa kehne
Tang dil ruu ba ruu nahi aaya-
Konsa raasta galat , kya sahi
Haath me haath do , chalo , to kahu.n
Itna sanjeeda , kaise , Kyu.n kar hu.n ?
Tum kisi baat pe haso , to kahu.n
Ye kab kaha k tum bhi nazm kaho
Kore kaagaz pe "HAA.n !" likho , to kahu.n
Mai musaafir hu raat ka #Batin
Tum kabhi raat bhar jago , to kahu.n
Ek dafa fir tumhei.n bhul dunga
Ek dafa fir se baat ho , to kahu.n-
Raah me fir kabhi milo , to kahu.n
Fir mera ishq ban sako , to kahu.n
Ye samandar to mere aa.nsu hai
Tum apni aa.nkh hi bharo , to kahu.n
Khwaabdeeda hai zehnashee.n aankhein
Inhi aankho.n ki aa bano , to kahu.n
Har gazal me zubaa.n nahi hoti
Dhadkano.n ko kabhi suno , to kahu.n
Mai bahot bolta hu , ye gham tha ?
Khair tum apni bol lo , to kahu.n
Neend me ek pari si lagti ho
God se tum meri utho , to kahu.n-