Iradon se apne qismaten badalte they kitno ki
Haal hai aesa qismat badli nahi ja rahi apno ki
Firqa paraston alfaaz ko apne tol kar bola karo
Kaat lenge tumhe hi palat kar,ye soch kar bola karo
Khamoshi ko hamari kamzori na samjho
Isi khamoshi se palte hain taqt-o-taaj kayi
-
Bas itna jaanta hu ke main begunah hu
Duniya ki rafaqaton ka mujhe pata nahi-
Kahan kuch Keh paaenge
Alfaaz mere ladkhada jaaenge
Nematen itni hain us rab ki mujh par
Ginte baethunga to saal guzarjaenge-
Nawaqif hu chaalbaazi ke khelon se main
Waqif hota agar to tu mere khadmon me pada hota-
Manzil jab badi aor bohat door ho to sabar aa hi jaata hai
Choti choti manzilon par taher kar raaste taweel nahi kiya karte-
Choti si to baat hai zyada na sochiye
Baat karni hai kijiye warna maaf kijiye-
Pahechana bhi khud ko to aoron ki surat
Itna anjaan ho chuka tha apne aap se main-
Waqt chahe jaesa bhi ho Jeet to haalaat ki hoti hai
Mohabbaten nafraten kahi suni Baaten lagti hain bas-
Kabhi utar to sahi apni Ana ke falak se
Main chota sa Insaan hu zameen par hi milunga-
Baaz na aaenge apni harkaton se kabhi
Insaan hain waqt waqt par aoqaat dikhate rahenge-