Mujhko iss baat ka dukh hai ki mere marne par.
Sab bahut royenge ek shakhs nahi royega.-
Single
🎂 26/03
Tu samajh k Kuchh Bhi nhi huwa.
Tere baad Kuchb bhi nhi huwa.
-
Iss se pehle ye tamanna mujhe pagal kar de.
Iss jahan ko hi meri aankho'n se ojhal kar de.
.
Wasl wo bakhsh k anjaam judayi Thehre
Hijr wo de k Jise maut Mukammal kar de.
.
Dil mera cheerti hai Giraya-e-Bulbul ki sada.
Sabz iss baagh ka har Sabza-o-kopal kar de
.
Pankh kar mujhko ata pehle to taaoos numa.
Aur phir meri nigaho'n ko hi baadal kar de.
.
Dil ye chahta hai k mai phir se usey du awaz.
Aur wo phir se meri baat ko mohmal kar de.
.
Ja-ba-ja Bikhre pade hain mere Tukde ran me.
Mere Kamil mujhe kamil sar-e-Maqtal kar de.
.
Jab se sanjeeda huwa hu'n bada ranjeeda hun.
Phir se atfaal k jaisa mujhe Chanchal kar de.
.
Bakhabar tu to hai FAISAL ki tamannao'n se.
Maula "KUN"keh ke mere khaab mukammal kar de.-
Chhuttiyo'n me bhi Kisi soch se bachne ke liye.
Baith jata hu'n mai kuchh Kaam adhoore le kar-
Iss se pehle ye tamanna mujhe pagal kar de.
Iss jahan ko hi meri aankho'n se ojhal kar de.
Wasl wo bakhsh k anjaam Hijr ho jiska.
Hijr wo de k Jise maut Mukammal kar de.-
Jab Farishte se Muqaddar ye likhaya hoga,
Mere Raheem tujhe Rahem to aaya hoga.
.
Zindagi teri Muhabbat me chala tha koi.
Toone phir kaise Zaher ussko pilaya hoga?
.
Sabr k saare taqaaze machal utthe honge.
Mere hotho'n pe jo shikwa kabhi aaya hoga.
.
Mai tere baad bahut der talak tanha hu'n.
Meri tanhayi ne kya tujhko Rulaya hoga?
.
Meri aawaaz me aawaaz milaane waale
Bil-yaqee'n tujhpe kisi Hijr ka saaya hoga.
.
Mai usey Maanunga bas zarf me aali jisne.
Dil ki naakaami pe bhi Jashn manaya hoga.
.
Jab duwao'n ko kabhi hath uthaye honge
Mera Chehra to tere saamne aaya hoga
.
Wo bahut kaam ka tha naam tha FAISAL jiska.
Kaun keh sakta tha iss tarha'n Wo zaaya hoga?-
Ham wo Log hain jo Manzil k bade qareeb se guzar kar Manzil se bahut door nikal aaye hain,K ab na koi hamsafar hai na koi hamnawa,aur na hi kisi ki Justuju hi baqi rahi hai, saamaan-e-Safar bhi khatm ho chala hai, ham tanhayi k uss muqaam par hain jahan Maut bhi apni Maujoodgi jataane se khauf khaa rahi hai, aur ham hain ki musalsal hass rahe hain, Duniya ko muskura k dikha rahe hain, magar andar se kitne khaali hain wo Hami jaante hain, aise aalam me jeena bhi kamaal se kam thodi hai?
Kaash hamse bhi koi poochhe ki
.
"Tum itna jo muskura rahe ho,
Kya gham hai jisko Chhupa rahe ho?"
.
Aur ham bhi ussko Muskura kar jawaab de'n ki
.
"Muskurane ko to haan mai bhi muskurata hu'n.
Meri aankhe'n to padho gham nahi Chhipata mai"
.
Kaash Hamare haq me kisi ki to duwa qubool ho jaye k ham bhi ek din sach me keh sake'n ki haan, hamara haal achchha hai.-
Yaar ham logo ne kuchh Khaab bade dekhe thay.
Yaar ham logo'n ko ab Neend kyo'n nahi aati?
-